ख़ाके-कर्बल पर कभी का’बा बना कर देखिए
मिस्ले-फ़रज़ंदे-अ़ली गर्दन कटा कर देखिए
हक़-परस्ती का अगर दा’वा है तो मिस्ले-हुसैन
ज़ेरे-ख़ंजर सर हो फि़र भी मुस्कुरा कर देखिए
कांप जाएंगे ज़मीनो-आसमां दश्तो-जबल
हैदरे-कर्रार का ना’रा लगा कर देखिए
रूह़ हो जाएगी ताज़ा साफ़ हो जाएगा दिल
याद में सरकार की आंसू बहा कर देखिए
आसमां का चांद भी इतना दरख़्शंदा नहीं
आमिना के चांद से आंखें मिला कर देखिए
की जिए शब्बीर की तक़लीद ऐ परवाज़ अब
मज़हबे-इस्लाम पर सब कुछ लुटा कर देखिए
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत है़दर परवाज़
- Reed More. दरिया हुसैन का है समंदर हुसैन का / Dariya Husain Ka Hai Samandar Husain Ka By Zainul Abideen Kanpuri
Khake-karbal par kabhi ka’aba bana kar dekhiye
Misle-Farzande-Ali gardan kata kar dekhiye
Haq-parasti ka agar dawa hai to misl-e-Husain
Zere-khanjar sar ho phir bhi muskura kar dekhiye
Kaamp jaayenge zameeno-aasman dashto-jabal
Haidere-Karrar ka na’ara laga kar dekhiye
Rooh ho jaayegi taaza saaf ho jaayega dil
Yaad mein Sarkar ki aansu baha kar dekhiye
Aasman ka chaand bhi itna darkhshanda nahin
Aamina ke chaand se aankhen mila kar dekhiye
Ki jiye Shabbir ki taqleed ai Parwaz ab
Mazhabe-Islam par sab kuch luta kar dekhiye
Na’at-Khwan:
Hazrat Haider Parwaz