कह उठे सब का’बे का का’बा मिला
जब ग़ुलामों को तेरा रौज़ा मिला
ख़ुल्द को पाकर ये ‘आसी कह उठे
मुस्त़फ़ा के ‘इश़्क का स़दक़ा मिला
मालिक-ए-कौसर शह-ए-कौनैन को
सारे नबियों से जुदा रुत्बा मिला
हैं मुक़द्दर के धनी वो बिलयक़ीं
ख़ुल्द जाने का जिन्हें मुज़्दा मिला
वो कभी फिरता नहीं है दर-बदर
सरवर-ए-दीं का जिसे स़दक़ा मिला
काश एक दिन मैं कहूँ सरकार का
देखने को गुम्बद-ए-ख़ज़रा मिला
‘आशिक-ए-सरवर को ‘अस्जद ह़श्र में
बिलयक़ीं तस्नीम का प्याला मिला
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत ‘असजद रज़ा ह़स्सानी
ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात
keh uthe sab Ka’abe ka Ka’aba mila
jab ghulaamon ko tera rauza mila
khuld ko paakar ye ‘aasi kah uthe
Mustafa ke ishq ka sadqa mila
maalik-e-Kausar shah-e-Kaunain ko
saare nabiyon se juda rutba mila
hain muqaddar ke dhani wo bil-yaqeen
khuld jaane ka jinhein muzda mila
wo kabhi firta nahin hai dar-badar
sarwar-e-deen ka jise sadqa mila
kaash ek din main kahoon Sarkaar ka
dekhne ko Gumbad-e-Khazra mila
‘aashiq-e-sarwar ko ‘Asjad hashr mein
bil-yaqeen Tasneem ka pyaala mila
shayar-e-Islam:
Hazrat ‘Asjad Raza Hassani
Na’at-Khwan:
Unknown