काश तै़यबा में बनाकर अपना एक घर देखते
हम से हो सकता तो हम उनको बराबर देखते
मुस्तहि़क़ जन्नत के हो जाते यक़ीनन हम सभी
मुस्त़फ़ा के दर का गर नूरानी मंज़र देखते
इज़्न-ए-सरकार-ए-मदिना काश मिल जाता अगर
शहर-ए-तै़यबा फिर तो हम पैदल ही आकर देखते
ख़ाक-ए-तै़यबा गर मला होता मैं अपने जिस्म पर
चाँद तारे भी मेरी जानिब तरस कर देखते
इतनी रुस्वाई न होती ऐ यज़ीदी दहर में
काश तुम ग़फ़्लत के पर्दे को हटाकर देखते
अज़्मतें भी नाज़ करती आपकी तक़दीर पर
मुस्तफ़ा की सुन्नतें करके उजागर देखते
फ़िक्र-ओ-फ़न आक़ा हमारी है तेरे दर की कनीज़
फिर तख़य्युल में किसी को कैसे लाकर देखते
दिल की दुनिया ही बदल जाती स’ईदी बिलयक़ीं
हाथ अपना फ़ख़्र-ए-अज़हर से मिलाकर देखते
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत फि़रौज रज़ा स’ईदी
ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात
kaash Taiba mein banaakar apna ek ghar dekhte
ham se ho sakta to ham unko baraabar dekhte
mustahiq jannat ke ho jaate yaqeenan ham sabhi
Mustafa ke dar ka gar noorani manzar dekhte
izn-e-Sarkaar-e-Madina kaash mil jaata agar
shahr-e-Taiaba phir to ham paidal hi aakar dekhte
khaak-e-Taiaba gar mala hota main apne jism par
chaand taare bhi meri jaanib taras kar dekhte
itni ruswaai na hoti ae Yazeedi dahr mein
kaash tum ghaflat ke parde ko hata kar dekhte
azmatein bhi naaz karti aapki taqdeer par
Mustafa ki sunnatein karke ujagar dekhte
fikr-o-fan aaqa hamaari hai tere dar ki kaneez
phir takhayyul mein kisi ko kaise laakar dekhte
dil ki duniya hi badal jaati Sa’eedi bil-yaqeen
haath apna Fakhr-e-Azhar se mila kar dekhte
shayar-e-Islam:
Hazrat Firoz Raza Sa’eedi
Na’at-Khwan:
Unknown