करते रहते हैं अताऐं मुस्तफ़ा / Karte Rehte Hain Ataye Mustafa

करते रहते हैं ‘अताऐं मुस्त़फ़ा
अपने दर पर भी बुलाऐं मुस्त़फ़ा

चाहते थे हज़रत-ए-अय्यूब भी
मेरे घर तशरीफ़ लाऐं मुस्त़फ़ा

आप हैं मुख़्तार-ए-कुल तो कैसे हम
ग़ैर की चौखट पे जाएँ मुस्त़फ़ा

कीजिए चश्म-ए-करम तजवीद हम
सीख कर सब को सिखाऐं मुस्त़फ़ा

अज़-तुफ़ैल-ए-ख़्वाजा-ए-हिन्द-अल-वली
हम को भी तै़यबा बुलाऐं मुस्त़फ़ा

आप हैं जब दाफ़ि-‘ए-जुम्ला-बला
दर्द क्यूँ सब को सुनाऐं मुस्त़फ़ा

ख़्वाहिश-ए-ज़ैदी है दर पर आप के
नअत लिख लिख कर सुनाऐं मुस्तफ़ा

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मोह़म्मद सद्दाम हु़सैन ज़ैदी झारखंड

ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात


Karte rehte hain ‘ataayein Mustafa
Apne dar par bhi bulaayein Mustafa

Chahte the Hazrat-e-Ayyub bhi
Mere ghar tashreef laayein Mustafa

Aap hain Mukhtaar-e-Kull to kaise hum
Ghair ki chaukhat pe jaayein Mustafa

Kijiye chashm-e-karam tajweed ham
Seekh kar sab ko sikhaayein Mustafa

Az-tufail-e-Khwaja-e-Hind-al-Wali
Ham ko bhi Taiaba bulaayein Mustafa

Aap hain jab daafi-‘e-jumla-bala
Dard kyun sab ko sunaayein Mustafa

Khwaahish-e-Zaidi hai dar par aap ke
Na’at likh likh kar sunaaye Mustafa

Shayar-e-islam:
Hazrat Mohammad Saddam Husain Zaidi Jharkhand

Na’at-Khwan:
Unknown