कमालों में आ’ला कमाल-ए मोह़म्मद
नहीं दो जहाँ में मिसाल-ए-मोह़म्मद
ज़मीं ता-फ़लक शर्क़ ता-ग़रब देखो
किसी में नहीं हैं ख़साल-ए-मोह़म्मद
सहा़बी का रुत्बा मिला है उसी को
जिसे हो गया है विसाल-ए मोह़म्मद
शरी’अत पे चलना अगर चाहते हो
रहे दिल में हर दम ख़्याल-ए मोह़म्मद
सभी मस्जिदों में मु’अज़्ज़िन हैं लेकिन
कहाँ ऐसा जैसे बिलाल-ए-मोह़म्मद
ये है ‘अब्द जूद-ओ-नवाल-ए-मोह़म्मद
नहीं दो जहाँ में मिसाल-ए-मोह़म्मद
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत ‘अब्दुल मुक़्तदिर
ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात
kamalon mein a’ala kamaal-e-Muhammad
nahin do jahaan mein misaal-e-Muhammad
zamin ta-falak sharq ta-gharab dekho
kisi mein nahin hain khisaal-e-Muhammad
sahaabi ka rutba mila hai usi ko
jise ho gaya hai wisaal-e-Muhammad
shari’at pe chalna agar chahte ho
rahe dil mein har dam khayal-e-Muhammad
sabhi masjidon mein mu’azzin hain lekin
kahaan aisa jaise Bilaal-e-Muhammad
ye hai ‘Abd jood-o-nawaal-e-Muhammad
nahin do jahaan mein misaal-e-Muhammad
shayar-e-Islam:
Hazrat ‘Abdul Muqtadir
Na’at-Khwan:
Unknown