क़लामे-पाक में वासिफ़ है खु़द मौला मुह़म्मद का / Kalame-Pak Mein Wasif Hai Khud Maula Muhammad Ka

क़लामे-पाक में वासिफ़ है खु़द मौला मुह़म्मद का
बयां फ़िर किस ज़ुबां से हो सके रुतबा मुह़म्मद का

ज़मीनो-आसमां को छान कर जिब्रील कहते हैं
है मिलना ग़ैर मुमकिन सानी-ओ-साया मुह़म्मद का

है उनका ख़ल्क़ क़ुरआनी बयां है नूरे-इरफ़ानी
अलम नशरह है सीना वद्दुहा चेहरा मुह़म्मद का

चलो ऐ मैकशो पीने की ख़ातिर शहरे-तय्यबा में
ख़ुला है आज भी रह़मत का मैख़ाना मुह़म्मद का

मक़ामो-मर्तबा क्या उनका है क़ुरआन से पूछो
न पहचान सका कोई आज तक रुतबा मुह़म्मद का

गया जो देखने वो: देखते ही कह पड़ा फ़ौरन
सुहाना बाग़े-जन्नत से भी है तै़बा मुह़म्मद का

सुकूने-क़ल्ब मिलता है दरीदा ज़ख़्म भरता है
शिफ़ा देता है ग़म में नाम है ऐसा मुह़म्मद का

मिटाने वाले खुद मिट जाएंगे दुनिया से मगर आफ़ी
क़ियामत तक नहीं मिट पाए गा चर्चा मुह़म्मद का

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी


Kalame-Pak mein Wasif hai khud Maula Muhammad ka
Bayan phir kis zubaan se ho sake rutba Muhammad ka

Zameeno-aasman ko chhaan kar Jibraeel kehte hain
Hai milna ghair mumkin sani-o-saya Muhammad ka

Hai unka khalq QurAani bayan hai noore-irfani
Alam-nashrah hai seena wadduha chehra Muhammad ka

Chalo ai maksho peene ki khatir shahre-Taiba mein
Khula hai aaj bhi rahmat ka maikhana Muhammad ka

Maqaamo-martaba kya unka hai Quran se poocho
Na pehchaan saka koi aaj tak rutba Muhammad ka

Gaya jo dekhne woh dekhte hi keh pada fauran
Suhana baage-jannat se bhi hai Taiba Muhammad ka

Sukune-qalb milta hai darida zakhm bharta hai
Shifa deta hai gham mein naam hai aisa Muhammad ka

Mitaane waale khud mit jaayenge duniya se magar Aafi
Qiyamat tak nahi mit paaye ga charcha Muhammad ka

Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri