WhatsApp logo Join Naat Group

काबा है हमारा क़िब्ला है हमारा / Kaba Hai Hamara Qibla Hai Hamara

ये सारा जहां किसका है किसका है इजारा

पत्थर के बुतों घर है हमारा के तुम्हारा

आमद पे शहे-दीं कि लगा ग़ैब से नारा

क्या याद नहीं तुमको अबाबील का लश्कर
दाबे हुए जो चोंच में लाए थे वो: कंकर
किस तरह से दुश्मन के सभी फाड़ दिए सर
क्या देखा नहीं तुमने वो: क़ुदरत का नज़ारा

तुम बनके ख़ुदा बैठे हो का’बे में हमारे
क्या सोच के तुम आ गए रस्ते में हमारे
क्यों भूल गए हैं सभी कब्ज़े में हमारे
लो हमने रसूल आख़िरी दुनिया में उतारा

अब कुफ़्र है काफ़िर हैं ना काफ़िर की हु़कूमत
हर ज़ुल्म पे गा़लिब हुई इस्लाम की ताक़त
खुल खुल के पढ़ी जाती है क़ुरआन की आयत
बुत फेंक के का’बे से अ़ली ने ये पुकारा

जैसे ही उमर ह़ल्क़ए-इस्लाम में आए
हर दुश्मने-इस्लाम के यूं होश उड़ाए
की अर्ज़ की हम पर हैं जब अल्लाह के साए
क्यों ख़ुल के नमाज़ें ना पढ़ें ह़क़ है हमारा

इस नज्दी हुकूमत को ख़ुदा जड़ से मिटा दे
का’बे का इमाम अब किसी सुन्नी को बना दे
आशिक़ कोई का’बे के मुस्ल्ले पे चढ़ा दे
गुस्ताख़ नहीं होता है का’बे में गवारा

अब ग़ारे-हि़रा मुझको भी सरकार दिखा दें
एहराम में मुझको भी तवाफों का मज़ा दें
मुझको भी ज़रा का’बे का दीदार करा दें
अज़हर भी कहे का’बे में जा के ये ख़ुदारा

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुहम्मद अली फ़ैज़ी


Ye saara jahan hai kiska hai kiska hai ijara

Patthar ke buton ghar hai hamara ke tumhara

Aamad pe shahe-deen ki laga ghaib se naara

Kya yaad nahin tumko ababeel ka lashkar
Daabe hue jo chonch mein laaye the wo kankar
Kis tarah se dushman ke sabhi phaad diye sar
Kya dekha nahin tumne wo qudrat ka nazaara

Tum banke khuda baithe ho ka’be mein hamare
Kya soch ke tum aa gaye raste mein hamare
Kyon bhool gaye hain sabhi qabze mein hamare
Lo humne Rasool aakhiri duniya mein utaara

Ab kufr hai kafir hain na kafir ki hukumat
Har zulm pe ghalib hui Islam ki taqat
Khul khul ke padhi jaati hai Qur’an ki aayat
But phenk ke ka’be se Ali ne ye pukaara

Jaise hi Umar halqa-e-Islam mein aaye
Har dushmane-Islam ke yun hosh udaaye
Ki arz ki hum par hain jab Allah ke saaye
Kyon khul ke namazen na padhein haq hai hamara

Is najdi hukumat ko Khuda jad se mita de
Ka’be ka imaam ab kisi Sunni ko bana de
Aashiq koi ka’be ke musalle pe chadha de
Gustakh nahin hota hai ka’be mein gawara

Ab ghare-Hira mujhko bhi Sarkar dikha dein
Ehraam mein mujhko bhi tawafon ka maza dein
Mujhko bhi zara ka’be ka deedaar kara dein
Azhar bhi kahe ka’be mein ja ke ye Khudara

Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi