जुदा बातिल को ह़क़ से कर दिया फ़ारूक़-ए-आज़म ने / Juda Batil Ko Haq Se Kar Diya Farooq-e-Azam Ne

जुदा बातिल को ह़क़ से कर दिया फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने
अलम इस्लाम का ऊँचा किया फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने

उन्हें के नाम की तासीर थी, या ख़त़ की हैबत थी
रुके दरीया को जारी कर दिया फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने

‘उमर को देख के शैता़न ख़ुद रस्ता बदल लेता
वो पाया ह़क़ से लोगो दबदबा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने

नबी के बा’द गर कोई नबी होते ‘उमर होते
नबी से पालिया ये मरतबा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने

जुदा केसे करोगे ह़श्र तक उनको नबी से तुम
लिया पहलू-ए-महबूब-ए-ख़ुदा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने

मुस्तफ़ा आईना है क़ल्ब क्यों ना होगा उजागर का
उसे भी अपने दामान में लिया फ़ारूक़-ए-आ’ज़म ने

शायर-ए-इस्लाम:
अज्ञात

ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात


Juda baatil ko Haq se kar diya Farooq-e-Aa’zam ne
Alam Islam ka ooncha kiya Farooq-e-Aa’zam ne

Unhi ke naam ki taseer thi, ya khat ki haibat thi
Ruke dariya ko jaari kar diya Farooq-e-Aa’zam ne

Umar ko dekh ke shaitaan khud rasta badal leta
Wo paaya Haq se logo dabdaba Farooq-e-Aa’zam ne

Nabi ke ba’ad gar koi Nabi hote ‘Umar hote
Nabi se paa liya ye martaba Farooq-e-Aa’zam ne

Juda kaise karoge Hashr tak unko Nabi se tum
Liya pehlu-e-Mahboob-e-Khuda Farooq-e-Aa’zam ne

Mustafa aaina hai, qalb kyun na hoga ujaagar ka
Use bhi apne daaman mein liya Farooq-e-Aa’zam ne

Shayar-e-Islam:
Unknown

Na’at-Khwan:
Unknown