WhatsApp Join Naat Group

जो दिल से झुक गया है मुह़म्मद के शहर में | तज़मीम – क्यूॅं आ के रो रहा है मुह़म्मद के शहर में / Jo dil se jhuk gaya hai Muhammad ke shehar mein | tazmeem – Kyun aa ke ro raha hai Muhammad ke shehar mein

जो दिल से झुक गया है मुह़म्मद के शहर में,
दूर उस से ग़म हुआ है मुह़म्मद के शहर में
मीट्टी में भी शिफा़ है मुह़म्मद के शहर में
क्यूॅं आ के रो रहा है मुह़म्मद के शहर में
हर दर्द की दवा है मुह़म्मद के शहर में

हर मसअला ह़यात का करने को हल चलें
दिल की नबी में अपने खिलाने कवल चलें
मिस्मारी अपनी इ़सयाॅं का करने मगर चलें
आओ गुनाहगारो चलो सर के बल चलें
तोबा का दर खुला है मुह़म्मद के शहर में

है काम ये जहान में उनके गु़लाम का
नज़राना भेजे उनको दुरूदो-सलाम का
कासा वहाॅं पे भरता है हर खा़सो-आ़म का
सदका़ लुटा रहा है खुदा उनके नाम का
सोना निकल रहा है मुह़म्मद के शहर में

ज़र्रा भी पुर ज़िया है मुह़म्मद के शहर में
कांटा भी खुशनुमा है मुह़म्मद के शहर में
मत पूछ हम से क्या है मुह़म्मद के शहर में
का’वे का दर खुला है मुह़म्मद के शहर में
मक़बुल हर दुआ़ है मुह़म्मद के शहर में

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत नूर अ़ली नूर बलरामपुरी

Jo dil se jhuk gaya hai Muhammad ke shehar mein,
Door us se gam hua hai Muhammad ke shehar mein
Mittii mein bhi shifa hai Muhammad ke shehar mein
Kyun aa ke ro raha hai Muhammad ke shehar mein
Har dard ki dawa hai Muhammad ke shehar mein

Har masAla hayaat ka karne ko hal chalein
Dil ki nabi mein apne khilane kaval chalein
Mismari apni isyaan ka karne magar chalein
Aao gunahGaaro chalo sar ke bal chalein
Tauba ka dar khula hai Muhammad ke shehar mein

Hai kaam ye jahaan mein unke gulaam ka
Nazarana bheje unko duroodo-salaam ka
Kaasa wahan pe bharta hai har khaaso-aam ka
Sadqa luta raha hai Khuda unke naam ka
Sona nikal raha hai Muhammad ke shehar mein

Zarra bhi pur ziya hai Muhammad ke shehar mein
Kaanta bhi khushNuma hai Muhammad ke shehar mein
Mat pooch ham se kya hai Muhammad ke shehar mein
Ka’abe ka dar khula hai Muhammad ke shehar mein
Maqbool har dua hai Muhammad ke shehar mein

Na’at-Khwan:
Hazrat Noor Ali Noor Balrampuri