जिस के दिल में तेरी उल्फ़त वाक़’ई है फ़ाति़मा
उस पे वाजिब बाग़-ए-जन्नत हो गई है फ़ाति़मा
अहल-ए-मह़शर से कहेगा कल ख़ुदा ये ह़श्र में
अपनी नज़रों को झुका लो आ रही है फ़ाति़मा
एक ही सजदे में तेरी रात हो जाती तमाम
मरह़बा क्या खू़ब तेरी बंदगी है फ़ाति़मा
हम नबी के चाहने वालों का ये ईमान है
तेरे घर का बच्चा बच्चा तो वली है फ़ाति़मा
इसलिए अपनी ग़रीबी पे बहुत नाज़ाँ हूँ मैं
तेरे घर से हो के ही ग़ुरबत चली है फ़ाति़मा
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत सरताज आलम रज़वी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत एह़सान शाकिर
Jis ke dil mein teri ulfat waaqa’i hai Fatima
Us pe waajib Baagh-e-Jannat ho gayi hai Fatima
Ahl-e-Mahshar se kahega kal Khuda ye hashr mein
Apni nazron ko jhukaa lo aa rahi hai Fatima
Ek hi sajde mein teri raat ho jaati tamaam
Marhaba kya khoob teri bandagi hai Fatima
Ham Nabi ke chaahne waalon ka ye imaan hai
Tere ghar ka bachcha bachcha to wali hai Fatima
Isliye apni ghareebi pe bahut naazaan hoon main
Tere ghar se ho ke hi gurbat chali hai Fatima
shayar-e-Islam:
Hazrat Sartaj Alam Razvi
Na’at-Khwan:
Hazrat Ehsan Shakir