जान-ए-मन जान-ए-ज़माना सय्यदी अख्तर रज़ा / Jan-e-Man Jan-e-Zamana Sayyadi Akhtar Raza

जान-ए-मन जान-ए-ज़माना सय्यदी अख्तर रज़ा
दिल में ही रहना न जाना सय्यदी अख़्तर रज़ा

दिल में है तस्वीर तेरी, जब मैं चाहूँ देख लूँ
बस मुझे सर है झुकाना सय्यदी अख़्तर रज़ा

मैं ये कैसे मान लूँ के आप दुनिया से गए
आप हैं मैं ने ये माना सय्यदी अख़्तर रज़ा

झूम कर नस्लें हमारी ये कहेंगी फ़ख़्र से
आप का पाया ज़माना सय्यदी अख़्तर रज़ा

एक नया फ़ित्ना उठा है साकि़ब-ए-शामी का अब
हो नज़र एक ना-सिहाना सय्यदी अख़्तर रज़ा

आ’ला ह़ज़रत, मुफ़्ती-ए-आ’ज़म थे, फिर अख़्तर रज़ा
अब है ‘असजद का ज़माना सय्यदी अख़्तर रज़ा

‘असजद-ए-मिल्लत हमारे, क़ा’इद-ए-अहल-ए-सुनन
मरकज़ी तेरा घराना सय्यदी अख़्तर रज़ा

आप हैं और आप ही के बा’द हुसाम-ओ-हुमाम
आप ही ने ये कहा न सय्यदी अख़्तर रज़ा

जब पढ़ी ना’तें वसी ने, आपने की ये दु’आ,
हो क़ुबूल अब ये सुनाना सय्यदी अख़्तर रज़ा

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत सय्यद ‘अब्दुल वसी क़ादरी रज़वी

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत सय्यद ‘अब्दुल वसी क़ादरी रज़वी


Jaan-e-Man Jaan-e-Zamana Sayyadi Akhtar Raza
Dil Mein Hi Rehna Na Jaana Sayyadi Akhtar Raza

Dil Mein Hai Tasveer Teri, Jab Main Chaahoon Dekh Loon
Bas Mujhe Sar Hai Jhukaana Sayyadi Akhtar Raza

Main Ye Kaise Maan Loon Ke Aap Duniya Se Gae
Aap Hain Main Ne Ye Maana Sayyadi Akhtar Raza

Jhoom Kar Naslein Hamaari Ye Kahein Gi Fakhr Se
Aap Ka Paaya Zamaana Sayyadi Akhtar Raza

Ek Naya Fitna Utha Hai Saqib-e-Shaami Ka
Ab
Ho Nazar Ek Naa-Sihaana Sayyadi Akhtar Raza

Aa’la Hazrat, Mufti-e-Aa’zam The, Phir Akhtar Raza
Ab Hai ‘Asjad Ka Zamaana Sayyadi Akhtar Raza

‘Asjad-e-Millat Hamaare, Qaaid-e-Ahl-e-Sunan
Markazi Tera Gharana Sayyadi Akhtar Raza

Aap Hain Aur Aap Hi Ke Ba’ad Hussam-o-Humaam
Aap Hi Ne Ye Kaha Na Sayyadi Akhtar Raza

Jab Padhi Na’atein Wasi Ne, Aap Ne Ki Ye Du’a
Ho Qubool Ab Ye Sunaana Sayyadi Akhtar Raza

Shayar-e-Islam:
Hazrat Sayyad ‘Abdul Wasi Qadri Razvi

Na’at-Khwan:
Hazrat Sayyad ‘Abdul Wasi Qadri Razvi