WhatsApp logo Join Naat Group

जहां में फ़ैज़ आक़ा का लुटाते हैं मेरे ख़्वाजा / Jahaan Mein Faiz Aaqa Ka Lutaate Hain Mere Khwaja

जहां में फ़ैज़ आक़ा का लुटाते हैं मेरे ख़्वाजा
सभी की सौई क़िस्मत को जगाते हैं मेरे ख़्वाजा

यक़ीनन उसकी बिगड़ी को बनाते हैं मेरे ख़्वाजा
जिसे दरबार में अपने बुलाते हैं मेरे ख़्वाजा

शराबे-इ़श्क़ की मस्ती उतर ती ही नहीं उसकी
जिसे अपनी निगाहों से पिलाते हैं मेरे ख़्वाजा

अ़ता दरिया क्या साइल ने गर क़तरा कोई मांगा
त़लब से भी सिवा देते दिलाते हैं मेरे ख़्वाजा

जो दामन थाम ले उनका वो: बे-बस हो नहीं सकता
उसे सुल्ताने-बत़्हा से मिलाते हैं मेरे ख़्वाजा

लगाया जौ़र शाहाना उठा पाया नहीं फ़िर भी
ज़मीं पर ऊंट को ऐसे बिठाते हैं मेरे ख़्वाजा

करम फरमाइए सरकार अब तो हम ग़ुलामों पर
ये ज़ालिम नाम से तेरे सताते हैं मेरे ख़्वाजा

ज़माने की कोई गर्दिश परेशां कर नहीं सकती
मुझे सन्जर मुसीबत से बचाते हैं मेरे ख़्वाजा

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मुहम्मद सफ़रज़ संजर चिश्ती

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत फरहा़न रज़ा


Jahaan mein faiz aaqa ka lutaate hain mere Khwaja
Sabhi ki soyi qismat ko jagaate hain mere Khwaja

Yaqeenan uski bigdi ko banaate hain mere Khwaja
Jise darbaar mein apne bulaate hain mere Khwaja

Sharaabe-ishq ki masti utarti hi nahi uski
Jise apni nigaahon se pilaate hain mere Khwaja

Ata dariya kya saail ne gar qatra koi maanga
Talab se bhi siwa dete dilaate hain mere Khwaja

Jo daaman thaam le unka woh bebas ho nahin sakta
Use Sultaane-Batha se milaate hain mere Khwaja

Lagaaya zaur shahaana utha paaya nahin phir bhi
Zameen par oont ko aise bitha te hain mere Khwaja

Karam farmaaiye Sarkar ab to ham ghulamon par
Ye zalim naam se tere sataate hain mere Khwaja

Zamaane ki koi gardish pareshan kar nahin sakti
Mujhe Sanjar museebat se bachaate hain mere Khwaja

Shayare-islam:
Hazrat Muhammad Safarz Sanjar Chishti

Na’at-Khwan:
Hazrat Farhan Raza