जब हो ख़ाली रूह़ से पिंजरा हु़ज़ूर
विर्दे-लब हो आप का कलमा हु़ज़ूर
हम ने ये क़ुरआन में देखा हु़ज़ूर
आप का अख़लाक़ है आ’ला हु़ज़ूर
हम सभी की रहनुमाई के लिए
आप का है उस्वा-ए-ह़सना हु़ज़ूर
जब किया है आप का ज़िक्रे-जमील
हो गया ईमान फिर ताज़ा हु़ज़ूर
हो गया जीना अजीरन हिज्र में
अब तो बुलवा लीजिए तै़बा हु़ज़ूर
आप ठहरे जब शफ़ी-उल-मुज़नबीं
फ़िर हो क्यों कर ह़श्र का खटका हु़ज़ूर
आप का दीदार हो जाता अगर
हर घड़ी में वज्द में रहता हु़ज़ूर
आप का नामे-मुक़द्दस और कलाम
शहद से भी है बहुत मीठा हु़ज़ूर
आप की मिदह़त-निगारी के सबब
आ़फ़ी अदना हुआ आ’ला हज़ूर
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी
Jab ho khaali rooh se pinjra Huzoor
Wirde-lab ho aap ka kalma Huzoor
Hum ne ye Qur’an mein dekha Huzoor
Aap ka akhlaaq hai a’la Huzoor
Ham sabhi ki rehnumai ke liye
Aap ka hai uswa-e-hasna Huzoor
Jab kiya hai aap ka zikre-jameel
Ho gaya imaan phir taaza Huzoor
Ho gaya jeena ajeeran hijr mein
Ab to bulwa lijiye Taiba Huzoor
Aap thahre jab Shafi-ul-Muzanbeen
Phir ho kyun kar Hashr ka khatka Huzoor
Aap ka deedaar ho jaata agar
Har ghadi mein wajd mein rehta Huzoor
Aap ka name-muqaddas aur kalaam
Shehad se bhi hai bahut meetha Huzoor
Aap ki midhat-nigari ke sabab
Aafi adna hua a’ala Huzoor
Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri