इस चमन के लिए बांगपन के लिए / Is Chaman Ke Lie Bangpan Ke Lie

इस चमन के लिए बांगपन के लिए
जान-ओ-तन सब फ़िदा है वतन के लिए

जिस ने महका दिया है मेरी जिंदगी
जीना मरना इसी एक सजन के लिए

धरती अम्बर फ़िज़ा मिसल-ए-जन्नत निशाॅं
जान दे देंगे नीले गगन के लिए

हिंद की सर ज़मीं गुफ़्तगू है मेरी
मुझको काफ़ी है मेरे सुख़न के लिए

वक़्त आने पे सर को कटा दूँगा मैं
वा’दा मेरा है मिसल-ए-अदन के लिए

ऐ ख़ुदा मुल्क से ख़त्म कर नफ़रतें
कर रहा हूँ दु’आ इस चमन के लिए

‘आशिक़ों की यही है फ़क़त आरज़ू
हो तिरंगा तसद्दुक़! कफ़न के लिए

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत तसद्दुक़ खा़न रज़वी

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत तसद्दुक़ खा़न रज़वी


Is chaman ke lie baangpan ke lie
jaan-o-tan sab fida hai watan ke lie

Jis ne mehka diya hai meri zindagi
jeena marna isi ek sajan ke lie

Dharti ambar fiza misal-e-jannat nishaan
jaan de denge neele gagan ke lie

Hind ki sar zameen guftagu hai meri
mujhko kaafi hai mere sukhan ke lie

Waqt aane pe sar ko kata doonga main
wa’ada mera hai misal-e-adan ke lie

Ae Khuda mulk se khatm kar nafratein
kar raha hoon dua is chaman ke lie

‘Aashiqon ki yahi hai faqat aarzu
Ho tiranga tasadduq! kafan ke lie

shayar-e-islam:
Hazrat Tasadduq Khan Razvi

Na’at-Khwan:
Hazrat Tasadduq Khan Razvi