इधर भी चश्म-ए-‘इनायत उठाइए आक़ा
तड़प रहा हूँ मदीने बुलाइए आक़ा
जनाब-ए-फा़ति़मा ज़हरा के वास्ते अब तो
हमारा सोया मुक़द्दर जगाइए आक़ा
सुना है लाते हैं तशरीफ़ ‘आशिक़ों के घर
हमारे घर में भी तशरीफ़ लाइए आक़ा
मुसीबतों ने हमें हर तरफ़ से घेरा है
है ‘अर्ज़ आप से हम को छुड़ाइए आक़ा
हमारी तिश्नगी बढ़ती ही जा रही है अब
हमें भी दीद का शरबत पिलाइए आक़ा
तड़प रहा है मदीने की दीद को शारिक़
बुलाएँगे उसे कब तक बताइए आक़ा
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत सय्यद शारिक़ ख़ालिदी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत सय्यद शारिक़ ख़ालिदी
Idhar bhi chashm-e-‘inayat uthaaiye Aaqa
Tadap raha hoon Madine bulaaiye Aaqa
Janab-e-Fatima Zehra ke waaste ab to
Hamaara soya muqaddar jagaaiye Aaqa
Suna hai laate hain tashreef aashiqon ke ghar
Hamaare ghar mein bhi tashreef laaiye Aaqa
Museebaton ne hamein har taraf se ghera hai
Hai ‘arz aap se ham ko chhudaaiye Aaqa
Hamaari tishnagi badhti hi jaa rahi hai ab
Hamein bhi deed ka sharbat pilaaiye Aaqa
Tadap raha hai Madine ki deed ko Shariq
Bulaayenge use kab tak bataaiye Aaqa
shayar-e-islam:
Hazrat Sayyad Shariq Khalidi
na’at-khwaan:
Hazrat Sayyad Shariq Khalidi