हुस्ने-यूसूफ़ न तमन्ना-ए-जु़लैखा़ देखूं / Husne-Yusuf Na Tamanna-E-Zulaikha Dekhun

हुस्ने-यूसूफ़ न तमन्ना-ए-जु़लैखा़ देखूं
दिल की चाहत है मुह़म्मद का ही चेहरा देखूं

रास आए न मुझे कोई भी दिलकश मंज़र
आखिरी सांस तलक गुम्बदे-ख़ज़रा देखूं

जब नकीरैन करें क़ब्र में पुरसिश मुझ से
हर घड़ी मेरे नबी आप का जलवा देखूं

मां के क़दमों को अगर चूम के निकलूं घर से
सर पे अल्लाह की रह़मत का मैं साया देखूं

नफ़्सी नफ़्सी की सदा आए जो रौजे़-मह़शर
टिकटिकी बांध के हर पल रुखे़-जे़बा देखूं

मेरे हा़लात परेशां हैं नज़र की जिए अब
आप की जा़त से हर दुख का मदावा देखूं

सर झुका कर ये अकी़दत से हैं बोले जाबिर
चांद से बढ़ के हंसीं चेहर-ए-मौला देखूं

आरजू़ दिल की तसद्दुक़ है फ़क़त इतनी सी
काश इन आंखों से एक बार मदीना देखूं

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत तसद्दुक़ खा़न

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मसूऊ़द नूरी काशीपुरी


Husne-Yusuf Na Tamanna-E-Zulaikha Dekhun
Dil ki chaahat hai Muhammad ka hi chehra dekhun

Raas aaye na mujhe koi bhi dilkash manzar
Aakhiri saans talak Gumbade-Khazra dekhun

Jab Nakeerein karein qabr mein pursish mujh se
Har ghadi mere Nabi aap ka jalwa dekhun

Maa ke qadmon ko agar choom ke niklun ghar se
Sar pe Allah ki rehmat ka main saaya dekhun

Nafsi nafsi ki sada aaye jo Rauze-Mahshar
Tik-tiki baandh ke har pal rukhe-zeba dekhun

Mere haalat pareshan hain nazar ki jiye ab
Aap ki zaat se har dukh ka madaawa dekhun

Sar jhuka kar ye aqeedat se hain bole Jabir
Chaand se badh ke haseen chehra -e-Maula dekhun

Aarzoo dil ki Tasadduq hai faqat itni si
Kaash in aankhon se ek baar Madeena dekhun

Shayare-Islam:
Hazrat Tasadduq Khan

Na’at-Khwan:
Hazrat Masood Noori Kashipuri