होगा एक जलसा हश्र में ऐसा / Hoga Ek Jalsa Hashr Mein Aisa Lyrics

होगा एक जलसा ह़श्र में ऐसा
जिस में सरकार की अ़ज़मत पे ख़िताबत होगी
सदरे-मह़शर हमारा रब होगा
हज़रते-बुलबुले-सिदरा की नक़ाबत होगी

होगा सर मुस्त़फ़ा का सजदे में
जब परेशानी के आ़लम में ये उम्मत होगी
रब कहेगा ये मेरा वा’दा है
उसको बख़्शूंगा तेरी जिस में मुहब्बत होगी

मैं पढूंगा ह़दाइक़े-बख़्शिश
ह़श्र की भीड़ में गर मुझ को इजाज़त होगी
सुन के ना’रा लगाएंगे सुन्नी
और वहाबी के लिये दोहरी क़यामत होगी

ये वसीयत है एक आ़शिक़ की
क़द की मिक़्दार में गहरी मेरी तुर्बत होगी
उठ सकू मैं प-ए-अदब फ़ौरन
जिस घड़ी क़ब्र में आक़ा की ज़ियारत होगी

आ’ला हज़रत वहां पे जाएंगे
जिस जगह उनके ग़ुलामों को ज़रूरत होगी
तू है एक रज़वी ना’त-ख़्वां फ़ैज़ी
इस लिये तेरे मुक़द्दर में भी जन्नत होगी

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत हबीबुल्लाह फ़ैज़ी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत हबीबुल्लाह फ़ैज़ी


Hoga ek jalsa Hashr mein aisa
Jis mein Sarkar ki azmat pe khitabat hogi
Sadre-Mahshar hamara Rab hoga
Hazrate-Bulbule-Sidra ki naqabat hogi

Hoga sar Mustafa ka sajde mein
Jab pareshani ke aalam mein ye ummat hogi
Rab kahega ye mera wada hai
Usko bakhshoonga teri jis mein muhabbat hogi

Main padhunga Hadaiq-e-Bakhshish
Hashr ki bheer mein gar mujh ko ijazat hogi
Sun ke naara lagayenge Sunni
Aur Wahabi ke liye dohari qayamat hogi

Ye wasiayat hai ek aashiq ki
Qad ki miqdaar mein gahri meri turbat hogi
Uth saku main pa-e-adab fauran
Jis ghadi qabr mein Aaqa ki ziyarat hogi

Aala Hazrat wahan pe jaayenge
Jis jagah unke ghulamon ko zaroorat hogi
Tu hai ek Razvi Na’at-Khwan Faizi
Is liye tere muqaddar mein bhi jannat hogi

Shayare-Islam:
Hazrat Habibullah Faizi

Na’at-Khwan:
Hazrat Habibullah Faizi