WhatsApp logo Join Naat Group

हर तरफ उजाला है आमिना के आंगन में / Har Taraf Ujaala Hai Aamina Ke Aangan Mein

हर तरफ़ उजाला है आमिना के आंगन में
नूर वाला आया है आमिना के आंगन में

दम निकलने वाला है कुफ्र के अंधेरों का
रब का नूर आया है आमिना के आंगन में

फज़ले-रब्बी अकबर से आ गए नबी वो: जो
अंबिया में आ’ला है आमिना के आंगन में

मज़हरे-खुदा या’नी मुस्त़फा़ की आमद से
खूब नूर छाया है आमिना के आंगन में

आख़िरी नबी बनकर शान से वो: आए हैं
क़ुद्सियो का मेला है आमिना के आंगन में

हर तरफ़ उजाला है जिस के नूरे-अक़दस से
ऐसा चांद निकला है आमिना के आंगन में

जिस के नूर से रब ने दो जहां बनाए हैं
वो: रसूल आया है आमिना के आंगन में

जो है मालिके-आ़लम ऐ नियाज़ वो: सुल्तां
आज जलवा फ़र्मा है आमिना के आंगन में

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत अबुल-फैजा़न मुह़म्मद नियाज़ अहमद रज़वी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत इसरार रज़ा फतेहपुरी


Har taraf ujaala hai Aamina ke aangan mein
Noor waala aaya hai Aamina ke aangan mein

Dam nikalne wala hai kufr ke andheron ka
Rab ka noor aaya hai Aamina ke aangan mein

Fazle-rabbi akbar se aa gaye Nabi woh jo
Ambiya mein a’ala hai Aamina ke aangan mein

Mazhare-Khuda ya’ani Mustafa ki aamad se
Khoob noor chhaya hai Aamina ke aangan mein

Aakhiri Nabi bankar shaan se woh aaye hain
Qudsiya ka mela hai Aamina ke aangan mein

Har taraf ujaala hai jis ke noore-aqdas se
Aisa chaand nikaala hai Aamina ke aangan mein

Jis ke noor se Rab ne do jahan banaye hain
Woh Rasool aaya hai Aamina ke aangan mein

Jo hai malike-aalam aye niyaz woh Sultaan
Aaj jalwa farman hai Aamina ke aangan mein

Shayare-Islam:
Hazrat Abul-Faizan Muhammad Niyaz Ahmad Razvi

Na’at-Khwan:
Hazrat Israr Raza Fatehpuri