हम पर रसूल-ए-पाक ने एहसान कर दिया
अपना बना के ख़ुल्द का मेहमान कर दिया
शान-ए-रसूल जिस ने भी पूछी है दोस्तों
हम ने तो उसके सामने क़ुरआन कर दिया
जब हद से बढ़ गए थे गुनाह क़ौम-ए-लूत़ के
रब ने तमाम शहर को वीरान कर दिया
सरकार मुझ को अपनी पनाहों में लीजिए
दुनिया के रंज-ओ-ग़म ने परेशान कर दिया
वो कब है मेरा जो मेरे महबूब का नहीं
क़ुरआन में ख़ुदा ने ये ए’लान कर दिया
कर्बल में दीन-ए-सरवर-ए-‘आलम के वास्ते
सर को हु़सैन ने मेरे क़ुर्बान कर दिया
अकरम, ख़ुदा के फ़ज़्ल से मेरे हु़ज़ूर ने
उस बुतकदा को दीं का गुलिस्तान कर दिया
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत अकरम तलहरी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत शादाब रज़ा क़ादरी
Ham par Rasool-e-Paak ne Ehsaan kar diya
Apna bana ke Khuld ka mehmaan kar diya
Shaan-e-Rasool jis ne bhi poochhi hai doston
Ham ne to uske saamne Quraan kar diya
Jab had se badh gaye the gunaah qaum-e-Loot ke
Rab ne tamaam shehar ko weeraan kar diya
Sarkaar mujh ko apni panaahon mein lijiye
Duniya ke ranj-o-gham ne pareshan kar diya
Wo kab hai mera jo mere Mahboob ka nahin
Quraan mein Khuda ne ye ai’laan kar diya
Karbal mein deen-e-Sarwar-e-‘Aalam ke Waaste
Sar ko Hussain ne mere qurbaan kar diya
Akram, Khuda ke fazl se mere Huzoor ne
Us butkada ko deen ka gulistaan kar diya
Shayar-e-islam:
Hazrat Akram Talhari
Na’at-Khwan:
Hazrat Shadab Raza Qadri