WhatsApp Join Naat Group

हैदर का घराना कर्बल में क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है | Haider Ka Gharana Karbal Mein Kya Zulm Anokhe Sehta Hai

दिल डूब गया है बानो का
और ख़ून का दरिया बहता है
जिस झूले में असग़र सोते थे
दो दिन से वो: ख़ाली रहता है

हैदर का घराना कर्बल में
क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है

ज़ैनब की नज़र है चौखट पर
और कान लगे हैं आहट पर
जब कोई दुलारा बाहर हो
तो माँ को खटका रहता है

ऐं कूफ़ियो क्या पाया तुम ने
उन पर ही सितम ढाया तुम ने
जिस घर का हर बच्चा बच्चा
सरकार से निस्बत रखता है

हैदर का घराना कर्बल में
क्या ज़ुल्म अनोखे सहता है

ऐं शिम्रे-लईं ज़ालिम तू ने
क्या शाही गला काटा तू ने
बह जाते हैं आँखों से आँसू
वो: मंज़र सामने आता है

सज्जाद शहीदों का ग़म है
जितना ही लिखो उतना कम है
हर साल मुहर्रम में घर घर
शब्बीर का चर्चा होता है

इस्लामी-शायर:
हज़रत मरहू़म सज्जाद निज़ामी

ना’त-ख़्वां:
हज़रत मरहू़म सज्जाद निज़ामी

Dil doob gaya hai Baano ka
aur khoon ka dariya behta hai
Jis jhoole mein Asghar sote the
do din se woh khaali rehta hai

Haider ka gharana Karbal mein
kya zulm anokhe sehta hai

Zainab ki nazar hai chaukhat par
aur kaan lage hain aahat par
Jab koi dulara baahar ho
to maa ko khatka rehta hai

Aye Kufiyo kya paaya tumne
un par hi sitam dhaya tumne
Jis ghar ka har bachcha bachcha
Sarkar se nisbat rakhta hai

Haider ka gharana Karbal mein
kya zulm anokhe sehta hai

Aye Shimre-layeen zalim tu ne
kya shaahi gala kaata tu ne
Beh jaate hain aankhon se aansu
woh manzar saamne aata hai

Sajjad shaheedon ka gham hai
jitna hi likho utna kam hai
Har saal Muharram mein ghar ghar
Shabbir ka charcha hota hai

Islami-shayar:
Hazrat Marhoom Sajjad Nizami

Na’at-Khwaan:
Hazrat Marhoom Sajjad Nizami