गुज़रे जिस राह से वो: सय्यदे-वाला हो कर
रह गई सारी ज़मीं अम्बरे-सारा हो कर
रुखे-अन्वर की तजल्ली जो क़मर ने देखी
रह गया बोसा दहे-नक्शे-कफ़े पा हो कर
वा-ए-महरूमिये-क़िस्मत कि मैं फ़िर अब की बरस
रह गया हम-रहे ज़व्वारे-मदीना हो कर
च-मने-तै़बा है वो: बाग़ के मुर्गे-सिदरा
बरसों चहके है जहां बुलबुले शैदा हो कर
सर-सरे दश्ते-मदीना का मगर आया ख़याल
रश्के-गुलशन जो बना गु़न्चा-ए-दिल वा हो कर
गोशे शह कहते हैं फ़रियाद रसी को हम हैं
वा’दा-ए-चश्म है बख्शाएंगे गोया हो कर
पाए शह पर गिरे या रब तपिशे-मेह से जब
दिले-बेताब उड़े ह़श्र में पारा हो कर
है ये उम्मीद रज़ा को तेरी रह़मत से शहा
न हो ज़िन्दानि-ए-दौज़ख तेरा बन्दा हो कर
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत इमाम अहमद रज़ा क़ादरी र.अ.
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ओवैस रज़ा क़ादरी
Guzre jis raah se woh Sayyade-Waala ho kar
Reh gayi saari zameen ambare-saara ho kar
Rukhe-Anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi
Reh gaya bosa dahe-nakshe-kafe paa ho kar
Wa-e-mehroomiye-qismat ke main phir ab ki baras
Reh gaya ham-rahe zawware-Madina ho kar
Chamane-Taiba hai woh baagh ke murghe-Sidra
Barson chehke hai jahan bulbule shaida ho kar
Sar-sare dashte-Madina ka magar aaya khayal
Rashke-gulshan jo bana gunchaye-dil waa ho kar
Goshe Shah kehte hain fariyaad rasi ko hum hain
Wa’ada-e-chashm hai bakhshaayenge goya ho kar
Paaye Shah par gire ya Rab tapishe-meh se jab
Dile-betaab ude hashr mein paara ho kar
Hai ye umeed Raza ko teri rahmat se Shaha
Na ho zindani-e-dauzakh tera banda ho kar
Shayare-Islam:
Hazrat Imam Ahmad Raza Qadri R.A.
Na’at-Khwan:
Hazrat Owais Raza Qadri