फकत इतना करम सरकार कर दें / Faqat Itna Karam Sarkar Kar Dein

फ़क़त इतना करम सरकार कर दें
मेरे पेश-ए-नज़र दरबार कर दें

क़दम रख कर हबीब-ए-किब्रिया अब
मुन्नवर मेरा भी घर-बार कर दें

तुफ़ैल-ए-पंजतन इज़्न-ए-ह़ुज़ूरी
‘अता शाह-ए-ज़मन एक बार कर दें

वो कर दें ग़ैर मुम्किन को भी मुम्किन
जहाँ कहसार हो गुलज़ार कर दें

सुना कर ख़ुल्द का मुज़्दा शह-ए-दिं
जिसे चाहें बरी-उन-नार कर दें

बिलाली ‘इश्क़ से गुलशन को मेरे
गु़ज़ारिश है कि लालाज़ार कर दें

है शाहिद बद्र की तारीख़ वल्लाह
वो चाहें शाख़ को तलवार कर दें

सजा लें ना’त का मुम्ताज़ मिसरा
तखय्युल को शहा ज़ोबार कर दें

शायर-ए-इस्लाम
ह़ज़रत मुम्ताज़ क़ादरी नानपुरी

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत ‘अब्दुल मुबीन निज़ामी


Faqat itna karam Sarkaar kar dein
Mere pesh-e-nazar darbaar kar dein

Qadam rakh kar Habib-e-Kibriya ab
Munawwar mera bhi ghar-baar kar dein

Tufail-e-Panjtan izn-e-huzoori
‘Ata Shaah-e-zaman ek baar kar dein

Wo kar dein ghair-mumkin ko bhi mumkin
Jahan kahsaar ho gulzaar kar dein

Suna kar Khuld ka muzda Shah-e-deen
Jise chaahein bari-un-naar kar dein

Bilali ‘ishq se gulshan ko mere
Guzarish hai ke laalaazaar kar dein

Hai Shaahid Badr ki tareekh wallah
Wo chaahein shaakh ko talwaar kar dein

Saja lein na’at ka mumtaz misra
Takhayyul ko Shaha zaubaar kar dein

shayar-e-Islam:
Hazrat Mumtaz Qadri Nanpuri

Na’at-Khwan:
Hazrat ‘Abdul Mubeen Nizami