दिलो की धड़कन मचल रही है
सुहाने बादल से छा रहे है
ज़माने वालो सजाओ घर को
हुज़ूर तशरीफ़ ला रहे है
क्यूं आए आदम क्यूं आए ईसा
क्यूं आए यूसुफ क्यूं आए मूसा
ये सारे मिलकर नबी की आमद
का सबको मुज्दा सुना रहे है
फिज़ा सुहानी अजीब मंज़र
मची है हलचल दिलो के अंदर
ये कौन आया के जिसकी खा़तिर
फि़रिश्ते आलम सजा रहे है
रची है शादी मची है धूमें
यतीम मस्ती में आज झूमे
वो: देखो दुर्रे-यतीम बनकर
हमारे ग़मखार आ रहे है
लिखो ऐ फ़ारूक़ ना’ते-सरवर
नबी की उल्फ़त का जोश भरकर
कुछ ऐसा मह़सूस होगा तुझ पर
हुज़ूर रह़मत लुटा रहे है
ना’त-ख़्वां
ह़ज़रत फ़ारूक़ रजा़ बरकाती
Dilon ki dhadkan machal rahi hai
Suhaane baadal se chha rahe hain
Zamane walo sajao ghar ko
Huzoor tashreef la rahe hain
Kyun aaye Aadam kyun aaye Isa
Kyun aaye Yusuf kyun aaye Moosa
Ye saare milkar Nabi ki aamad
Ka sabko mujda suna rahe hain
Fiza suhaani ajeeb manzar
Machi hai halchal dilon ke andar
Ye kaun aaya ke jiski khaatir
Firishtay aalam saja rahe hain
Rachi hai shaadi machi hai dhoomein
Yateem masti me aaj jhoome
Wo dekho Durre-Yateem bankar
Hamare ghamkhaar aa rahe hain
Likho ai Farooq na’ate-Sarwar
Nabi ki ulfat ka josh bhar kar
Kuch aisa mehsoos hoga tujh par
Huzoor rahmat luta rahe hain
Na’at-Khwan:
Hazrat Farooq Raza Barkati