WhatsApp logo Join Naat Group

देकर ख़ुदा को जान की क़ीमत ख़रीद ली / Dekar Khuda Ko Jaan Ki Qeemat Kharid Li

देकर ख़ुदा को जान की क़ीमत ख़रीद ली
हर आ़शिक़े-रसूल ने जन्नत ख़रीद ली

आक़ा ने अपनी ज़िंदगी ग़ुर्बत में काट कर
दुनिया के हर ग़रीब की ग़ुर्बत ख़रीद ली

असग़र की उस तबस्सुमे-मा’सूम पर निसार
जिस ने यज़ीदियों की हु़कूमत ख़रीद ली

जिस ने नबी की याद को दिल में बसा लिया
समझो के उसने खु़ल्द की राह़त ख़रीद ली

सो बार उस दीवाना-ए-सरकार को सलाम
जिस से ज़ुबैदा बीबी ने जन्नत ख़रीद ली

मशहूर कर दिया मुझे आक़ा की ना’त ने
में ने नबी की ना’त से शोहरत ख़रीद ली

अल्लाह ने मुस्त़फ़ा की रज़ा के लिए असद
बाज़ारे-मुस्तफाई से उम्मत खरीद ली

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत असद इक़बाल कलकत्तवी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत असद इक़बाल कलकत्तवी


Dekar Khuda ko jaan ki qeemat kharid li
Har aashiqe-Rasool ne Jannat kharid li

Aaqa ne apni zindagi ghurbat mein kaat kar
Duniya ke har ghareeb ki ghurbat kharid li

Asghar ki us tabassume-masoom par nisaar
Jis ne Yazidiyon ki hukoomat kharid li

Jis ne Nabi ki yaad ko dil mein basa liya
Samjho ke usne Khuld ki raahat kharid li

So baar us deewana-e-Sarkar ko salaam
Jis se Zubaida Bibi ne Jannat kharid li

Mashhoor kar diya mujhe Aaqa ki naat ne
Maine Nabi ki naat se shoharat kharid li

Allah ne Mustafa ki raza ke liye Asad
Bazaare-Mustafai se Ummat kharid li

Shayare-Islam:
Hazrat Asad Iqbal Kalkattavi

Na’at-Khwan:
Hazrat Asad Iqbal Kalkattavi