WhatsApp Join Naat Group

चेहरा है क्या सुहाना मेरे अज़हरी मियां का | हर शख्स है दीवाना मेरे अज़हरी मियां का / Chehra hai kya suhaana mere azhari Miyan ka | Har shakhs hai deewaana mere azhari Miyan ka


चेहरा है क्या सुहाना मेरे अज़हरी मियां का,
हर शख्स है दीवाना मेरे अज़हरी मियां का.

आनी है मौत सबको जाते हैं रौज़ लाखों
क्या खूब था जनाज़ा मेरे अज़हरी मियां का

चेहरा है क्या सुहाना मेरे अज़हरी मियां का,
हर शख्स है दीवाना मेरे अज़हरी मियां का.

जिस गौद में खिलाया मेरे मुस्तफा रज़ा ने
वोः है वुजूद प्यारा मेरे अज़हरी मियां का

चेहरा है क्या सुहाना मेरे अज़हरी मियां का,
हर शख्स है दीवाना मेरे अज़हरी मियां का.

इक़बाल और आज़म हैं उन के ही भिकारी
खाते हैं दोनों सदक़ा मेरे अज़हरी मियां का

चेहरा है क्या सुहाना मेरे अज़हरी मियां का,
हर शख्स है दीवाना मेरे अज़हरी मियां का.

ना’त-ख्वां:
हज़रत आज़म इक़बाल रामपुरी


Chehra hai kya suhaana mere azhari Miyan ka,
Har shakhs hai deewaana mere azhari Miyan ka.

Aani hai maut sabko jaate Hain Roz laakhon
Kya khoob tha janaaza mere azhari Miyan ka

Chehra hai kya suhaana mere azhari Miyan ka,
Har shakhs hai deewaana mere azhari Miyan ka.

Jis gaud men khilaaya mere mustafa Raza ne
Woh hai wujood pyaara mere azhari Miyan ka

Chehra hai kya suhaana mere azhari Miyan ka,
Har shakhs hai deewaana mere azhari Miyan ka.

Iqbal aur aazam Hain un ke hi bhikhaari
Khaate Hain donon sadqa mere azhari Miyan ka

Chehra hai kya suhaana mere azhari Miyan ka,
Har shakhs hai deewaana mere azhari Miyan ka.

Na’at-khwan:
Hazrat aazam iqbal rampuri