चमक उठे महो-अख़्तर मेरे सरकार आए हैं
जनाबे-आमिना के घर मेरे सरकार आए हैं
हर एक लब पर सदा होगी ना घबराओ गुनहगारों
वो: देखो शाफी़-ए-मह़शर मेरे सरकार आए हैं
जमाअ़त अंबिया की है शबे-मे’राज अक़्सा में
इमामुल-अंबिया बन कर मेरे सरकार आए हैं
लह़द में देख कर उनको दीवाना बोल उठे गा
करम फ़रमा ने अब मुझ पर मेरे सरकार आए हैं
नबी जितने भी आए हैं वो: आए मौ’जिज़े लेकर
सारापा मौ’जिज़ा बन कर मेरे सरकार आए हैं
अ़ली का बाल भी बाका नहीं कर पाएगा कोई
अ़ता करके उन्हें बिस्तर मेरे सरकार आए हैं
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुहम्मद अली फैज़ी
Chamak uthe maho-akhtar mere Sarkar aaye hain
Janabe-Aamina ke ghar mere Sarkar aaye hain
Har ek lab par sada hogi na ghabraao gunahgaaron
Wo dekho Shafi-e-Mahshar mere Sarkar aaye hain
Jamaat ambiya ki hai shab-e-Me’raj Aqsa mein
Imam-ul-Ambiya ban kar mere Sarkar aaye hain
Lahad mein dekh kar unko deewana bol uthega
Karam farmaane ab mujh par mere Sarkar aaye hain
Nabi jitne bhi aaye hain wo aaye maujiza le kar
Sarapa maujiza ban kar mere Sarkar aaye hain
Ali ka baal bhi baaka nahin kar paayega koi
Ata karke unhein bistar mere Sarkar aaye hain
Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi