चलो क़िस्मत जगाओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
दीवानो झूम जाओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
सितारे जगमगाएं फूल भी खुशबू बिखेरे हैं
कली दिल की खिलाओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
मदारिस में मसाजिद में गली में और कू चे में
चलो ना’रा लगाओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
ख़ुदा ने जिसके सदक़े में किया तख़लीक़ आलम को
घरो को तुम सजाओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
ह़लीमा-सादिया अपनी गरीबी पर न रोए गीं
कोई जा कर बताओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
बुलंदी ज़ीरे-पां होने लगी है देख लो लोगो
सितारे मुस्कराओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
हवाओं मुस्तफ़ा के इ़श्क़ में दिल को जलाया है
ज़रा तुम आज़माओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
ज़हीरे-क़ादरी घर-घर यही पैग़ाम देता है
चलो झंडे लगाओ मुस्त़फ़ा तशरीफ़ लाए हैं
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मुह़म्मद ज़हीर अख़्तर रज़वी ग़ाज़ीपुरी
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत असग़र अ़ली
Chalo Qismat Jagaao Mustafa Tashreef Laaye Hain
Diwaanon jhoom jaao Mustafa tashreef laaye hain
Sitare jagmagaye phool bhi khushbu bikhere hain
Kali dil ki khilaao Mustafa tashreef laaye hain
Madaaris mein masaajid mein gali mein aur kuche mein
Chalo na’ara lagaao Mustafa tashreef laaye hain
Khuda ne jiske sadqe mein kiya takhleeq aalam ko
Gharon ko tum sajaao Mustafa tashreef laaye hain
Haleema Saadiya apni gareebi par na roye gi
Koi jaa kar bataao Mustafa tashreef laaye hain
Bulandi zeere-paa hone lagi hai dekh lo logon
Sitaare muskuraao Mustafa tashreef laaye hain
Hawaaon Mustafa ke ishq mein dil ko jalaaya hai
Zara tum aazmao Mustafa tashreef laaye hain
Zaheere-Qadri ghar-ghar yahi paighaam deta hai
Chalo jhande lagaao Mustafa tashreef laaye hain
Shayare-Islam:
Hazrat Muhammad Zaheer Akhtar Rizvi Ghazipuri
Na’at-Khwan:
Hazrat Asghar Ali