WhatsApp Join Naat Group

चला हूं कर्बला वा’दा निभाने के लिए नाना / Chala hoon Karbala wa’ada nibhaane ke liye naana | Naeem Akhtar

गिलाफ़े-का’बा कुछ नापाक हाथों से छुड़ाना है
तरीक़त भी बचाना है श़रीअ़त भी बचाना है
दुआ़ करना मेरे हक़ में मुझे कुछ दूर जाना है
इजाज़त दीजिए अब मुझको जाने के लिए नाना

चला हूं कर्बला वा’दा निभाने के लिए नाना,

सहूंगा ज़ख़्म पर मैं ज़ख़्म फिर भी मुस्कुराऊंगा
जवानी का़सिम-ओ-अकबर की कर्बल में लुटाऊंगा
ज़रूरत पड़ गई तो नन्ना असग़र भी कटाऊंगा
तुम्हारे दीन की अज़मत बचाने के लिए नाना

अभी तक याद है तुम मुझको कांधों पर बिठाते थे
कहीं गिर जाया करता था तो तुम बढ़कर उठाते थे
मैं रोया करता था तो तुम ही सीने से लगाते थे
फ़रिश्ते आते थे झूला झूलाने के लिए नाना

चला हूं कर्बला वा’दा निभाने के लिए नाना,

ऐं बाबा प्यास से सूखी ज़वां बौले अ़ली अकबर
तो फ़रमाया था यह श़ब्बीर ने उनसे नई़म अख़्तर
ज़रा सी देर की है बात मेरे लाल ग़म ना कर
खड़े हैं देख वो: कौसर पिलाने के लिए नाना

ना’त-ख्वां:
हज़रत नईम अख्तर

Ghilafe-Ka’ba kuch napaak haathon se chhudana hai,
Tariqat bhi bachana hai, shari’at bhi bachana hai
Dua karna mere haq mein mujhe kuch door jaana hai
Ijaazat dijiye ab mujhko jaane ke liye naana

Chala hoon Karbala wa’ada nibhaane ke liye naana,

Sahoonga zakhm par main zakhm phir bhi muskuraoonga
Jawani Qasim-o-Akbar ki Karbala mein lutaaoonga
Zaroorat pad gayi to nanna Asghar bhi kataaoonga
Tumhare deen ki azmat bachane ke liye naana

Abhi tak yaad hai tum mujhko kandhon par bithaate the
Kahin gir jaaya karta tha to tum badhkar uthaate the
Main roya karta tha to tum hi seene se lagaate the
Farishtay aate the jhoola jhulaane ke liye naana

Chala hoon Karbala wa’ada nibhaane ke liye naana,

Ae baba pyaas se sookhi jawaan bole Ali Akbar
To farmaaya tha yeh Shabbir ne unse Naeem Akhtar
Zara si der ki hai baat mere laal gham na kar
Khade hain dekh voh: Kausar pilaane ke liye naana

Na’at-khwaan:
Hazrat Naeem Akhtar