बे-सहारों का मसीहा़ आप हैं | मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं तज़मीम के साथ / Be-Saharon Ka Masiha Aap Hain | Mustafa-E-Zaat-E-Yakta Aap Hain With Tazmeen

बे-सहारों का मसीहा़ आप हैं
ताजदारों के भी आक़ा आप हैं
मर्तबे में सबसे आ’ला आप हैं
मुस्तफ़ा-ए-ज़ात-ए-यकता आप हैं
यक ने जिस को यक़ बनाया आप हैं

हैं समंदर की जो ये गहराइयाँ
ना’त इन में पढ़ती हैं सब मछलियाँ
पढ़ती हैं सल्ले-‘अला सब तितलियाँ
ज़ेब-ओ-ज़ीन-ए-खाक़ फ़ख़्र-ए-ख़ाकियाँ
ज़ीनत-ए-अर्श-ए-मु’अल्ला आप हैं

आप का ऐसा कोई मंगता नहीं
जो कि दर से आप के पलता नहीं
किस जगह सरकार का चर्च़ा नहीं
आप जैसा कोई हो सकता नहीं
अपनी हर ख़ूबी में तन्हा आप हैं

आप के दम से मिली सब को ख़ुशी
आप पर क़ुर्बान मेरी ज़िंदगी
लाज रख ली आप ने मज़लूम की
ला-मकाँ तक जिस की फैल़ी रौशनी
वो चराग़-ए-‘आलम-आरा आप हैं

आप का रब ने बढ़ाया मर्तबा
आप के जैसा कोई क्या हो सका
आप महबूब-ए-ख़ुदा, नूर-ए-ख़ुदा
आप की रुइयत है दीदार-ए-ख़ुदा
जल्वा-गाह-ए-हक़ त’आला आप हैं

मिल गया ह़द से सिवा बहर-ए-सुवाल
उन के दर पर जो गया बहर-ए-सवाल
राज़ी सब कुछ पा लिया बहर-ए-सुवाल
बर दरत आमद गदा बहर-ए-सुवाल
हो भला अख़्तर का दाता आप हैं

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत हु़ज़ूर ताजुश्शरिया मुफ़्ती अख़्तर रज़ा ख़ान बरैलवी र.अ.

तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत सय्यद मोह़म्मद खुर्शीद राज़ी

ना’त-ख़्वाॅं:
अज्ञात


Be-sahaaron ka Maseeha aap hain
Tajdaaron ke bhi Aaqa aap hain
Martabe mein sabse a’ala aap hain
Mustafa-e-zaat-e-yakta aap hain
Yak ne jis ko yak banaya aap hain

Hain samandar ki jo ye gehraaiyaan
Na’at in mein padhti hain sab machhliyaan
Padhti hain salle-‘ala sab titliyaan
Zeb-o-zeen-e-khaak fakhr-e-khaakiyan
Zeenat-e-arsh-e-mu’alla aap hain

Aap ka aisa koi mangta nahin
Jo ke dar se aap ke palta nahin
Kis jagah Sarkar ka charcha nahin
Aap jaisa koi ho sakta nahin
Apni har khoobi mein tanha aap hain

Aap ke dam se mili sab ko khushi
Aap par qurbaan meri zindagi
Laaj rakh li aap ne mazloom ki
La-makaan tak jis ki phaili roshni
Wo charagh-e-‘aalam-aara aap hain

Aap ka Rab ne badhaya martaba
Aap ke jaisa koi kya ho saka
Aap Mahboob-e-Khuda, Noor-e-Khuda
Aap ki ruiyat hai deedaar-e-Khuda
Jalwa-gaah-e-Haq Ta’aala aap hain

Mil gaya had se siwa behr-e-suwaal
Un ke dar par jo gaya behr-e-suwaal
Raazi sab kuch pa liya behr-e-suwaal
Bar darat aamad gada behr-e-suwaal
Ho bhala Akhtar ka daata aap hain

Shayar-e-islam:
Hazrat Huzoor TajushSharia Mufti Akhtar Raza Khan Bareilvi (R.A.)

Tazmeen-Nigaar:
Hazrat Sayyed Mohammad Khursheed Razi

Na’at-Khwan:
Unknown