WhatsApp logo Join Naat Group

बना हूं जब से परवाना मुईनुद्दीन चिश्ती का / Bana Hoon Jab Se Parwaana Mueenuddin Chishti Ka

बना हूं जब से परवाना मुई़नुद्दीन चिश्ती का
नज़र में है ज़िया-ख़ाना मुई़नुद्दीन चिश्ती का

कोई तिश्ना नहीं लौटा कभी दरबार से उन के
खुला रहता है मैख़ाना मुई़नुद्दीन चिश्ती का

मिला करता है सब को फ़ैज़ उनके आस्ताने से
हो अपना या के बेगाना मुई़नुद्दीन चिश्ती का

फ़िज़ा अजमेर की भाए नहीं क्यूं मेरी आंखों में
हूं मस्तानों में मस्ताना मुई़नुद्दीन चिश्ती का

तमन्ना अब्द के दिल की मेरे महबूब पूरी कर
दिखा दे उसको काशाना मुई़नुद्दीन चिश्ती का

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मुफ्ती अब्दुल मक्त़दर ख़ान जालवी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गु़लाम मुई़नुद्दीन क़ादरी


Bana hoon jab se parwaana Mueenuddin Chishti ka
Nazar mein hai ziya-khaana Mueenuddin Chishti ka

Koi tishna nahin lauta kabhi darbaar se unke
Khula rehta hai maikhaana Mueenuddin Chishti ka

Mila karta hai sab ko faiz unke aastane se
Ho apna ya ke begaana Mueenuddin Chishti ka

Fiza Ajmer ki bhaaye nahin kyun meri aankhon mein
Hoon mastaanon mein mastaana Mueenuddin Chishti ka

Tamanna Abd ke dil ki mere mehboob poori kar
Dikha de usko kaashaana Mueenuddin Chishti ka

Shayare-Islam:
Hazrat Mufti Abdul Muqtadir Khan Jalvi

Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Moinuddin Qadri