WhatsApp logo Join Naat Group

बग़दाद वाले बग़दाद वाले / Baghdad Waale Baghdad Waale

हैं ग़ौसे-आ’ज़म सभी से निराले

हम से ग़रीबों को वो: हैं संभाले

जब भी कहा हमने या ग़ौसे-आ’ज़म
फ़ौरन मदद आई छटने लगे ग़म
उनके करम से हैं घर में उजाले

मैं कुछ नहीं हूं तुम्हारा करम है
मुझ में तुम्हारे करम से ही दम है
ये ज़िंदगी है तुम्हारे हवाले

रस्ते में कोई न आएगी मुश्किल
दा’वे से मिल जाएगी मुझको मंज़िल
भाई मेरे यह वज़ीफ़ा बना ले

ठोकर से चाहें तो मरे जिलाएं
और क़ब्र में आशिकों को बचाएं
डूबी हुई वो: तो कश्ती निकालें

हिंदू हो मुस्लिम हो सिख हो ईसाई
बिगड़ी हुई उनसे सब ने बनाई
कब देखते हैं वो: गोरे या काले

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत आसिफ़ रज़ा क़ादरी


Hain Ghause-Aa’zam sabhi se niraale

Ham se ghareebon ko wo hain sambhaale

Jab bhi kaha hamne ya Ghause-Aa’zam
Fauran madad aayi chhaTne lage gham
Unke karam se hain ghar mein ujaale

Main kuch nahi hoon tumhara karam hai
Mujh mein tumhare karam se hi dam hai
Ye zindagi hai tumhare hawaale

Raste mein koi na aayegi mushkil
Da’awe se mil jaayegi mujhko manzil
Bhai mere yeh wazifa bana le

Thokar se chahein to murde jilaayein
Aur qabr mein aashiqon ko bachaayein
Doobi hui woh to kashti nikaale

Hindu ho Muslim ho Sikh ho Isai
Bigdi hui unse sab ne banaai
Kab dekhte hain woh gore ya kaale

Na’at-Khwan:
Hazrat Asif Raza Qadri