अली के साथ है ज़हरा की शादी / Ali Ke Sath Hai Zahra Ki Shadi

लड़का है ख़ुदा के घर का, लड़की है नबी के घर की,
वो ‘अर्ज़-ओ-समाॅं का मालिक, ये मलिका बह्र-ओ-बर की
ज़मीं रक़्सा है, रक़्सा आसमाॅं भी

हैदर है कुल्ल-ए-ईमाॅं और कुल्ल-ए-इस्मत ज़हरा
उस सर पे वफ़ा का सेहरा, इस सर पे ह़या का सेहरा
वो शहज़ादा है और ये शहज़ादी

खेती ने बिछाया सब्ज़ा, सूरज ने उजाले बांटे
ख़ुद दस्त-ए-ख़ुदा शब के ऑंचल पे सितारे बांटे
हुई रंगीन जो तस्वीर सादी

बोला ये ख़ुदा हर जानिब, रहमत की घटा बरसे गी
जो बुग्ज़ से बंजर होगी बस वो ही ज़मीं तरसे गी
उठो जिब्रील ये करदो मुनादी

दुनिया ने संवारा ख़ुद को अंदाज नए अपनाए
तहज़ीब ने ज़ेवर बदले मलबूस नए सिलवाए
मेहक उठी नसब की पाक वादी

दूल्हा़ के रूप में प्यारे ‘अली इब्न-ए-ता़लिब हैं,
था बाप भी सब पे ग़ालिब, ये भी कुल्ल-ए-ग़ालिब है
ये दामाद-ए-नबी हैं और वो संबधी

बारात चली है़दर की रह़मत के साए साए
बारात के आगे आगे कु़रआन, क़सीदे गाए
नबी सारे चले बन कर बराती

तोहफ़े में मिले मैके ऐसे इन्हें जन्नत और कौसर तो
ये सारा नमक और पानी हक़ मेहर मिला ज़हरा को
सलामी में मिली मर्ज़ी ख़ुदा की

क़ुदरत की तरफ़ से इनको अभी तोह़फ़े और मिलेंगे
कल इनके हसीं आँगन में वो असली फूल खिलेंगे
हंसीं शजरें जिन्हें देंगे सलामी

अब चाहे कोई भड़के, अब चाहे कोई तड़पे
अब मेरी बला से चाहे मर जाए कोई जल जल के
ख़ुशी की बात थी मैंने सुना दी

कैसे हो बयाॅं वो मंज़र जब ख़त्म हुई सब रस्में
कौनैन की हर शै गौहर कहती थी खा कर क़समें
मुबारक है मुबारक है ये शादी

शायर:
गोहर चार चूरी

आवाज़:
मीर हसन मीर


Ladka hai Khuda ke ghar ka, ladki hai Nabi ke ghar ki,
Wo arz-o-samaa ka malik, ye malika bahr-o-bar ki
Zameen raqsa hai, raqsa aasman bhi

Haider hai kull-e-imaan aur kull-e-ismat Zahra
Us sar pe wafa ka sehra, is sar pe haya ka sehra
Wo shahzada hai aur ye shahzadi

Kheti ne bichhaya sabza, sooraj ne ujale baante
Khud dast-e-Khuda shab ke aanchal pe sitare baante
Hui rangeen jo tasveer saadi

Bola ye Khuda har janib, rehmat ki ghata barse gi
Jo bughz se banjar hogi bas wohi zameen tarse gi
Utho Jibreel ye kar do munaadi

Duniya ne sanwara khud ko andaaz naye apnaye
Tehzeeb ne zewar badle, malboos naye silwaye
Mehak uthi nasab ki paak waadi

Dulha ke roop mein pyaare Ali ibn-e-Talib hain,
Tha baap bhi sab pe ghalib, ye bhi kull-e-ghalib hain
Ye daamad-e-Nabi hain aur wo sambandhi

Baraat chali Haider ki, rehmat ke saaye saaye
Baraat ke aage aage Qur’an, qaseede gaaye
Nabi saare chale ban kar baraati

Tohfe mein mile maike aise, inhen jannat aur kausar to
Ye saara namak aur paani haq mehr mila Zahra ko
Salaami mein mili marzi Khuda ki

Qudrat ki taraf se inko abhi tohfe aur milenge
Kal inke haseen aangan mein wo asli phool khilenge
Haseen shajrein jinhen denge salaami

Ab chahe koi bhadke, ab chahe koi tadpe
Ab meri bala se chahe mar jaaye koi jal jal ke
Khushi ki baat thi maine suna di

Kaise ho bayan wo manzar jab khatm hui sab rasmen
Kounain ki har shai gohar kehti thi kha kar qasmen
Mubarak hai, mubarak hai ye shaadi

Poet:
Gohar Char Choori

Voice:
Meer Hasan Meer