WhatsApp logo Join Naat Group

ऐ वलियों के सुल्तान ग़ौसुल-वरा निगाहे करम कीजिए / Ai Waliyon Ke Sultan Ghausul-Wara Nigaahe Karam Kijiye

ऐ वलियों के सुल्तान ग़ौसुल-वरा

है हर क़ादरी के ये दिल की सदा

कभी तुम ने ठोकर से मुर्दा जिलाया
कहीं डूबे बारातियों को तैराया
तुम ही हो शहा ऐसे मुश्किल-कुशा

बेहतर का सदक़ा अ़ता कीजिएगा
ये सोया मुक़द्दर जगा दीजिएगा
है दामन पसारे गदा आप का

ऐ ज़हरा के प्यारे अ़ली के दुलारे
मदद कीजिए मेरी ऐ बग़दाद वाले
ज़माने का मैं हूं सताया हुआ

है दीदार की दिल में आ’ज़म के ख़्वाहिश
करो ग़ौसे-आ’ज़म ये मुझ पर नवाज़िश
तमन्ना ये कब से लिए हूं खड़ा

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत आ’ज़म साह़ब

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत आ’ज़म इक़बाल रामपुरी


Ai Waliyon Ke Sultan Ghausul-Wara

Hai har Qaadri ke ye dil ki sada

Kabhi tum ne thokar se murda jilaya
Kahin doobe baraatiyon ko tairaya
Tum hi ho shaha aise mushkil-kusha

Behtar ka sadqa ata kijiye ga
Ye soya muqaddar jaga dijiye ga
Hai daaman pasaare gada aap ka

Ai Zahra ke pyare Ali ke dulaare
Madad kijiye meri ai Baghdad waale
Zamane ka main hoon sataya hua

Hai deedaar ki dil mein A’azam ke khwahish
Karo Ghause-A’azam ye mujh par nawaazish
Tamanna ye kab se liye hoon khada

Shayare-Islam:
Hazrat A’azam Sahab

Na’at-Khwan:
Hazrat A’azam Iqbal Rampuri