ऐ ह़दीस-ए-दिल ऐ शु’ऊर-ए-जाॅं
तुझे किस ज़ुबाॅं की तलाश है
जो सुख़न के ग़ेसू संवार दे
उसी म़द्ह-ए-ख़्वाॅं की तलाश है
मैं जबीन-ए-दिल से लगाऊँगा,
मैं निग़ाह-ओ-दिल में बसाऊँगा
जो ग़ुबार-ए-शहर-ए-रसूल है,
उसी कहकशा की तलाश है
है नफ़्स नफ़्स यही जुस्तजू
के जमाल-ए-यार हो रू-ब-रू
जो रग-ए-दिलों से क़रीब है,
उसी जाने-जाॅं की तलाश है
कभी आसमाॅं पे नज़र गई
तो फ़िज़ा की नब्ज़ ठहर गई
कि ज़मीन-ए-‘इश्क़ को आज तक
तेरे आसमाॅं की तलाश है
वही रंग-ओ-नूर की सरज़मीं,
के हैं सर ब सज्दा फ़लक-नशीं
ये न पूछ ऐ मेरे हम-नशीं
मुझे किस जहाॅं की तलाश है
मैं चराग़ बन के जला करूँ
मैं अयाग़ बन के रहा करूॅं
उसी रौशनी की है आरज़ू,
उसी शम्अ-ए-दाॅं की तलाश है
शायर-ए-इस्लाम:
अज्ञात
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत असद इक़बाल कलकत्तवी
Ai hadees-e-dil ae shu’oor-e-jaan
Tujhe kis zabaan ki talaash hai
Jo sukhan ke gesoo sanwaar de
Ussi madh-e-khwaan ki talaash hai
Main jabeen-e-dil se lagaunga,
Main nigah-o-dil mein basaaunga
Jo ghubaar-e-shehar-e-Rasool hai,
Usi kahkashan ki talaash hai
Hai nafs nafs yahi justujoo
Ke jamaal-e-yaar ho ru-ba-roo
Jo rag-e-dilon se qareeb hai,
Usi jaan-e-jaan ki talaash hai
Kabhi aasmaan pe nazar gai
To fizaa ki nabz thahar gai
Ke zameen-e-‘ishq ko aaj tak
Tere aasmaan ki talaash hai
Wahi rang-o-noor ki sarzameen,
Ke hain sar-ba-sajda falak-nasheen
Ye na poochh ai mere ham-nasheen
Mujhe kis jahaan ki talaash hai
Main charaagh ban ke jala karoon
Main ayaagh ban ke raha karoon
Usi raushni ki hai aarzu,
Usi shama-e-daan ki talaash hai
Shayar-e-Islam:
Unknown
Na’at-Khwan:
Hazrat Asad Iqbal Kalkattavi