अह़मद रज़ा बरैल़ी का सुल्ताँ है आज भी
अहल-ए-सुनन का सच्चा निगहबाॅं है आज भी
मेहका हुआ रज़ा का शबिस्ताँ है आज भी
अह़मद रज़ा का ताज़ा गुलिस्ताँ है आज भी
खुरशीद-ए-‘इल्म उनका दरख़्शाँ है आज भी
प्यारे नबी का जाम-ए-मोह़ब्बत पिला गया
ईमान और अक़ीदा हमारा बचा गया
दुनिया से नज्दियों की वो हस्ती मिटा गया
‘अर्सा हुआ वो मर्द-ए-मुजाहिद चला गया
सीनों में एक सोज़िश-ए-पिन्हाँ है आज भी
क्या ही लिखी हदाइक़-ए-बख्शिश नबी के नाम
मक़बूल हर कलाम हुआ तेरा ऐ इमाम
पढ़ते हैं सब तो इस लिए सुबह-ओ-मसा सलाम
‘इश्क-ए-ह़बीब-ए-पाक में डूबा हुआ कलाम
सर्माया-ए-निशात-ए-सुख़नदाँ है आज भी
कर के रज़ा ने ज़ीस्त में मिदहत रसूल की
करनी है कैसे सीने ‘इनायत रसूल की
बतला गए हमें वो फ़ज़ीलत रसूल की
भर दी दिलों में उल्फ़त-ओ-‘अज़मत रसूल की
जो मख़्ज़न-ए-ह़लावत-ए-ईमाॅं है आज भी
आने दिया न जिस ने शरी’अत पे कोई दाग़
‘इल्म-ओ-‘अमल से अपने खिलाए हैं दीं के बाग़
तेरे समझ में आएगा क्या नज्दिया कलाग़
सब उनसे जलने वालों के गुल हो गए चराग़
अह़मद रज़ा की शम्’आ फ़रौज़ाँ है आज भी
‘इश्क-ए-नबी में खुद को जलाता है इस लिए
‘आफ़ी रज़ा से दिल को लगाता है इस लिए
इस से नबी का ‘इश्क बढ़ाता है इस ने
मिर्ज़ा सर-ए-नियाज़ झुकाता है इस लिए
‘इल्म-ओ-‘अमल पे आप का एह़साँ है आज भी
शायर-ए-इस्लाम:
अज्ञात
तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत गुलाम समदानी आफ़ी कादरी
ना’त-ख़्वां:
अज्ञात
Ahmad Raza Bareilly ka sultaan hai aaj bhi
Ahl-e-sunan ka sachcha nigahbaan hai aaj bhi
Mehka hua Raza ka shabistaan hai aaj bhi
Ahmad Raza ka taaza gulistaan hai aaj bhi
Khursheed-e-‘ilm unka darkhshaan hai aaj bhi
Pyaare Nabi ka jaam-e-mohabbat pila gaya
imaan aur aqeeda hamaara bacha gaya
Duniya se najdiyon ki wo hasti mita gaya
Arsa hua wo mard-e-mujahid chala gaya
Seeno mein ek sozish-e-pinhaan hai aaj bhi
Kya hi likhi Hadaiq-e-Bakhshish Nabi ke naam
Maqbool har kalaam hua tera ai Imaam
Padhte hain sab to is liye subh-o-masa salaam
‘Ishq-e-Habeeb-e-Paak mein dooba hua kalaam
Sarmaya-e-nishaat-e-sukhandaan hai aaj bhi
Kar ke Raza ne zeest mein midhat Rasool ki
Karni hai kaise seene inayat Rasool ki
Batla gaye hamein wo fazilat Rasool ki
Bhar di dilo mein ulfat-o-‘azmat Rasool ki
Jo makhzan-e-halawat-e-imaan hai aaj bhi
Aane diya na jis ne shari’at pe koi daagh
‘Ilm-o-‘amal se apne khilaaye hain deen ke baagh
Tere samajh mein aayega kya najdiya kalaagh
Sab unse jalne waalon ke gul ho gaye charaagh
Ahmad Raza ki shamma farozan hai aaj bhi
‘Ishq-e-Nabi mein khud ko jalaata hai is liye
‘Aafi Raza se dil ko lagaata hai is liye
Is se Nabi ka ‘ishq badhaata hai is ne
Mirza sar-e-niyaaz jhukaata hai is liye
‘Ilm-o-‘amal pe aap ka ehsaaan hai aaj bhi
Shayar-e-islam:
Unknown
Tazmeen-Nigaar:
Hazrat Ghulam Samdani ‘Aafi Qadri
Na’at-Khwan:
Unknown