आक़ा मेरे क़रार हैं हर बे-क़रार के
मह़बूबे-कुल हैं यार हैं परवर-दिगार के
देता ख़ुदा है इस में ज़रा शक नहीं मगर
देता है ने’मते वो: मुह़म्मद पे वार के
चर्चा जहां में क्यों ना हो यूसुफ़ के हु़स्न का
हक़ ने दिया ह़बीब का सदक़ा उतार के
बाज़ारे-मुस्त़फ़ा है यहां नक़्द मांग तू
ओ ना समझ यहां नहीं सौदे उधार के
सदक़ा ह़सन हु़सैन का ख़ैरात दी जिए
दर पे खड़े हैं आप के मंगते पुकार के
साजिद निज़ाम नाम है लब पर हुज़ूर का
में जा रहा हूं आ़क़िबत अपनी संवार के
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत साजिद निज़ाम
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ज़ौहेब अशरफ़ी
Aaqa mere qarar hain har be-qarar ke
Mahbube-kul hain yaar hain parwar-digaar ke
Deta Khuda hai is mein zara shak nahi magar
Deta hai ne’mate woh Muhammad pe waar ke
Charcha jahan mein kyon na ho Yusuf ke husn ka
Haq ne diya Habib ka sadqa utaar ke
Bazaare-Mustafa hai yahan naqd maang tu
O na samajh yahan nahi saude udhaar ke
Sadqa Hasan Husain ka khairaat di jiye
Dar pe khade hain aap ke mangte pukaar ke
Sajid Nizam naam hai lab par Huzoor ka
Main ja raha hoon aaqibat apni sanwaar ke
Shayare-Islam:
Hazrat Sajid Nizam
Na’at-Khwan:
Hazrat Zoheb Ashrafi