आक़ा मेरे जहां में तशरीफ ला रहे हैं
कलियां चटक रही है गुल मुस्कुरा रहे हैं
जो आशिके़-नबी हैं खुशियां मना रहे हैं
ना’ते-नबी की मह़फिल घर-घर सजा रहे हैं
तशरीफ़ लाए आक़ा था लब पे रब्बे-हबली
उम्मत की याद में वो: आंसू बहा रहे हैं
था क़त्ल का इरादा घर से उ़मर जो निकले
देखा नबी का चेहरा कलमा सुना रहे हैं
आका़ की अ़ज़मतों को समझे गा कैसे नजदी
उनके गु़लाम जब कि मुर्दे जिला रहे हैं
सबरो-रजा़ के पैकर वो: हुसैन इब्ने-है़दर
दीने-नबी की खा़तिर सब कुछ लूटा रहे हैं
हम पर करम हो ख़्वाजा बहरे-शफ़ीए-मेह़शर
हिंदुस्तां में हम को जा़लिम सता रहे हैं
गु़स्ताखे़-मुस्त़फा़ का है नार ही ठिकाना
अह़मद रज़ा यही तो सब को बता रहे हैं
तै़बा से काश आकर कोई यह मुझ से कह दे
तुझ को फ़हीम रज़वी आक़ा बुला रहे हैं
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अरशद इक़बाल अशरफी़
Aaqa mere jahan mein tashreef la rahe hain
Kaliyan chatak rahi hain gul muskara rahe hain
Jo aashiqe-Nabi hain khushiyan mana rahe hain
Naate-Nabi ki mahfil ghar-ghar saja rahe hain
Tashreef laaye Aaqa tha lab pe Rabbe-habli
Ummat ki yaad me wo aansu baha rahe hain
Tha qatl ka iraada ghar se Umar jo nikle
Dekha Nabi ka chehra kalma suna rahe hain
Aaqa ki azmaton ko samjhe ga kaise najdi
Unke ghulaam jab ke murde jila rahe hain
Sabro-Raza ke paikar wo Husain ibne-Haider
Deene-Nabi ki khatir sab kuchh luta rahe hain
Hum par karam ho Khwaja bahre-Shafie-Mehshar
Hindustan me hum ko zalim sata rahe hain
Gustakhe-Mustafa ka hai naar hi thikana
Ahmad Raza yahi to sab ko bata rahe hain
Taiba se kaash aakar koi yeh mujh se keh de
Tujh ko Faheem Razvi Aaqa bula rahe hain
Na’at-Khwan:
Hazrat Arshad Iqbal Ashrafi