आपका हुक्म जिधर का है उधर के हम हैं
ज़र ख़रीदे से गुलाम आपके दर के हम हैं
जिब्राईल आपकी ख़्वाहिश का भरम रखा है
वरना मोहताज कहां आपके पर के हम हैं
चांद कहता है के हुं फर्श तेरे क़दमों का
तारे कहते हैं तेरी राह गुज़र के हम हैं
जिस्म क्या देखना किस शहर की मिट्टी है ये
रूह में झांक ज़रा तैबा नगर के हम हैं
कोई हम जैसा गुनहगार नहीं है फि़र भी
रब के महबूब तेरी एक नज़र के हम हैं
अशरफी तुम हो, ये बरकाती हैं, मैं रज़वी हूं
पर मुसाफि़र तो सभी एक सफ़र के हम है
कह रहे हैं यही अज़हर मेरे लफ़्ज़ों के समर
क्यूं ना मीठे हो बरैली के शजर के हम हैं
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गुलाम गौस ग़ज़ाली
Aapka hukm jidhar ka hai udhar ke ham hain
Zar khareede se ghulam aapke dar ke ham hain
JibraEel aapki khwahish ka bharam rakha hai
Warna mohtaaj kahan aapke par ke ham hain
Chaand kehta hai ke hoon farsh tere qadmon ka
Taare kehte hain teri raah guzar ke ham hain
Jism kya dekhna kis shehar ki mitti hai ye
Ruh mein jhaank zara Taiba nagar ke ham hain
Koi ham jaisa gunahgaar nahi hai phir bhi
Rab ke Mehboob teri ek nazar ke ham hain
Ashrafi tum ho, ye Barakati hain, main Razvi hoon
Par musaafir to sabhi ek safar ke ham hain
Keh rahe hain yahi Azhar mere lafzon ke samar
Kyun na meethe ho Bareily ke shajar ke ham hain
na’at-khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali