आप हैं रब के वली और आपका रब्बे-क़दीर | ग़ौसे-आज़म दस्तगीर / Aap Hain Rab Ke Wali Aur Aapka Rabbe-Qadeer | Ghause-Aazam Dastageer

आप हैं रब के वली और आपका रब्बे-क़दीर

आप शाहों के भी शाह और अमीरों के अमीर

मुस्तफ़ा के लाडले इतना करम फरमाइए
आप की मह़फ़िल से जी है आइए आजाइए
आके रोशन घर मेरा कर दीजिए रोशन ज़मीर

दीद की प्यासी नज़र है एक झलक दिखलाइए
वास्ता हसनैन का है अब करम फरमाइए
ख़्वाब ही में आए न एक दिन पीरों के पीर

मेरी आंखों को शहे-जीलां जंचा कोई नहीं
मेरे दिल में आप ही हैं दूसरा कोई नहीं
आप में सुल्तान और मैं आप के दर का फ़क़ीर

ज़ुल्म का छट जाए बादल हर मुसीबत दूर हो
हर सितम का हर जफ़ा का भी इरादा चूर हो
गर चले बग़दाद से तेरी नज़र का एक तीर

हर जगह ढूंढा है मैंने छान डाला ये जहां
आप के जैसा ज़माने में कोई पाया कहां
आप सा कोई नहीं दुनिया में ऐ पीरों के पीर

आप के दरबारे-आ़ली का गदा हो जाएंगे
और हम दुनिया के हर ग़म से रिहा हो जाएंगे
क़ादरी ज़ंजीर का कर दीजिए हमको असीर

पास अज़मत के बला आए कोई मुम्किन नहीं
घर की जानिब रुख करे हादसा मुमकिन नहीं
खींच रखी है तेरे फ़ैज़ान ने ऐसी लकीर

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अ़ज़मत रज़ा भागलपुरी


Aap hain Rab ke Wali aur aapka Rabbe-Qadeer

Aap shaahon ke bhi Shah aur ameeron ke ameer

Mustafa ke laadle itna karam farmaaiye
Aap ki mehfil se ji hai aaiye aajaaiye
Aake roshan ghar mera kar dijiye roshan zameer

Deed ki pyasi nazar hai ek jhalak dikhlaiye
Wasta Hasnain ka hai ab karam farmaaiye
Khwab hi mein aaye na ek din Peeron ke Peer

Meri aankhon ko Shahe-Jeelan jhacha koi nahi
Mere dil mein aap hi hain doosra koi nahi
Aap mein Sultan aur main aap ke dar ka faqeer

Zulm ka chhat jaaye badal har museebat door ho
Har sitam ka har jafa ka bhi iraada choor ho
Gar chale Baghdad se teri nazar ka ek teer

Har jagah dhoonda hai maine chhaan daala yeh jahan
Aap ke jaisa zamaane mein koi paaya kahaan
Aap sa koi nahi duniya mein ae Peeron ke Peer

Aap ke darbare aali ka gada ho jaayenge
Aur hum duniya ke har gham se riha ho jaayenge
Qadri zanjeer ka kar dijiye humko aseer

Paas azmat ke bala aaye koi mumkin nahi
Ghar ki jaanib rukh kare haadsa mumkin nahi
Kheench rakhi hai tere faizaan ne aisi lakeer

Na’at-Khwan:
Hazrat Azmat Raza Bhagalpuri