आदमी वो: बिलयक़ीं जन्नत-निशां में आ गया
जो रसूले-पाक के शहरे-अमां में आ गया
वो: मुसर्रत और बख़्शिश के समां में आ गया
जो पनाहे-सय्यिदे-कौनो-मकां में आ गया
वो: बिला शक्क हक़ तआ़ला की अमां में आ गया
इसमें कोई शक नहीं है त़लअते-सरकार से
जाने-रह़मत मेरे आक़ा मालिको-मुख़्तार से
बाइसे-तख़्लीक़े-दुनिया सय्यिदे-अबरार से
फ़ैज़े-अनवारे-क़दूमे-सय्यिदे-अबरार से
नूर का आ़लम ज़मीनो-आसमां में आ गया
जो मुह़ब्बत सिद्क़-दिल से मेरे आक़ा से करे
जो दरूदे-पाक हर दम बा-वुज़ू हो कर पढ़े
नार में जाने का परवाना उसे क्यों कर मिले
ये नहीं मुम्किन जलाए आतिशे-दौज़ख़ उसे
कलमा-ए-दीने-मुह़म्मद जिस ज़मां में आ गया
फ़ज़्ले-रब से आ़फ़ी करता है सना-ए-मुस्तफ़ा
ऐसे ही कर लेता है वो: रब की सुन्नत को अदा
ना’त के सद्क़े में तुझको चार सू शौहरा मिला
जब कहा काफ़ी क़सीमे-हौज़े-कौसर की सना
आबे-कौसर का दहाने-मद्ह-ख़्वां में आ गया
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत किफा़यत अ़ली काफी़ र.अ.
तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आ़फ़ी क़ादरी
Aadmi woh bilyaqeen jannat-nishaan mein aa gaya
Jo Rasoole-Paak ke shahre-Amaan mein aa gaya
Woh musarrat aur bakhshish ke samaan mein aa gaya
Jo panahe-Sayyade-Kauno-Makaan mein aa gaya
Woh bila shakk Haq Ta’ala ki amaan mein aa gaya
Ismein koi shak nahin hai talAte-sarkar se
Jaane-rahmat mere aaqa maaliko-mukhtaar se
Ba-ise-takhleeqe-duniya Sayyade-Abrar se
Faize-Anware-qadume-Sayyade-Abrar se
Noor ka aalam zameeno-aasman mein aa gaya
Jo muhabbat sidqe-dil se mere aaqa se kare
Jo Daroode-Pak har dam ba-wuzu ho kar padhe
Naar mein jaane ka parwana use kyun kar mile
Ye nahi mumkin jalaaye aatishe-dauzakh use
Kalma-e-deene-Muhammad jis zaman mein aa gaya
Fazle-Rab se Aafi karta hai sana-e-Mustafa
Aise hi kar leta hai woh rab ki sunnat ko ada
Na’at ke sadqe mein tujhko char soo shohra mila
Jab kaha kaafi qasime-hauze-Kausar ki sana
Aabe-Kausar ka dahane-madh-khwan mein aa gaya
Shayare-Islam:
Hazrat Kifayat Ali Kaafi R.A.
Tazmeen-Nigar:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri