WhatsApp Join Naat Group

फसाहत नाज़ करती है | बलागत नाज़ करती है / Fasahat naaz Karti hai | Balagat naaz karti hai | by shahnawaz hassan

फसाहत नाज़ करती है
बलागत नाज़ करती है
लब-ए-सरकार पर शीरी
लताफ़त नाज़ करती है

सज़ा के वक्त चेहरा देखना
आदात नही उनकी
उमर फारूक पर अब भी
अदालत नाज़ करती है

फसाहत नाज़ करती है
बलागत नाज़ करती है.

सर-ए-नेज़ा कभी क़ुरआन
कोई पढ़ नहीं सकता
अली के लाडले तुम पर
तिलावत नाज़ करती है

खड़े हैं अंबिया अक़सा में
पीछे मुस्तफा आगे
इमामत पर नबी की कुल
इमामत नाज़ करती है

तुम्हारे हिस्से में आक़ा की
दो, दो बेटियां आईं
ऐं उस्मान-ए-गनी तुम पर
तो क़िस्मत नाज़ करती है

तुम्हारा मर्तबा दुनिया की
हर औरत से अफ़ज़ल है
नबी की लाडली तुम पर
तहारत नाज़ करती है

नबी के नाम पर हर ज़ुल्म
सहना है तुम्हे मंजूर
बिलाल-ए-बा वफ़ा तुम पर
मुहब्बत नाज़ करती है

पढ़ाने के लिएं खुद का
जनाज़ा ख़ुद चले आए
मेरे साबिर पिया तुम पर
विलायत नाज़ करती है

रज़ा का हर कलाम इतना
हुआ मक़बूल आ’लम में
रज़ा की शायरी पर सारी
खिलकत नाज़ करती है

मेरे अख्तर हैं इतने खूबसूरत
आज तक उन पर
फलक के चांद तारों की
जमाअत नाज़ करती है

खड़ी है रेल गाड़ी सजदे
जारी है मुजाहिद के
मुजाहिद की इबादत पर
इबादत नाज़ करती है

मुजाहिद के नवासे का
अलग अंदाज़ रहता है
मुजाहिद के नवासे पर
शराफ़त नाज़ करती है

मुझे जो कुछ मिला मां की
दुआ-ओ से मिला हस्सान
मेरी मां की दुआ-ओ पर
यह बरकत नाज़ करी है

ना’त-ख्वां:
हज़रत शहनवाज़ हस्सान

Fasahat naaz Karti hai
Balagat naaz karti hai
Lab-e-sarkar par shiri
Lataafat naaz karti hai

Saza ke waqt chehra dekhna
Aadat nahin unki
Umar Farooq par ab bhi
Adaalat naaz karti hai

Fasahat naaz Karti hai
Balagat naaz karti hai

Sar-e-neza kabhi qurAan
Koi padh nahi sakta
Ali ke laadle tum par
Tilaawat naaz karti hai

Khade hain ambiya aqsa me
Peeche Mustafa aage
Imamat par Nabi ki kul
Imamat Naaz karti hai

Tumhare hisse men aaqa ki
Do, do betiyan aayin
Ain usman-e-ghani tum par
To qismat naaz karti hai

Tumhara martaba dunya ki
Har aurat se afzal hai
Nabi ki laadli tum par
Tahaarat naaz karti hai

Nabi ke naam par har zulm
Sehna hai tumhe manzoor
Bilal-e-ba wafa tum par
Muhabbat Naaz karti hai

Padhaane ke lien khud ka
Janaaza khud chale aaye
Mere sabir Piya tum par
Wilaayat naaz karti hai

Raza ka har Kalam itna
Hua maqbool aalam me
Raza ki shayari par saari
Khilqat Naaz karti hai

Mere akhtar hain itne khubsurat
Aaj Tak un par
Falaq ke chaand taaron ki
JamaAt naaz naaz karti hai

Khadi hai rel gaadi sajde
Jaari Hain mujahid ke
Mujahid ki ibaadat par
Ibaadat Naaz karti hai

Mujahid ke nawaase ka
Alag andaaz rahta hai
Mujahid ke nawaase par
Sharafat Naaz karti hai

Mujhe Jo kuch Mila maam ki
DuAao se Mila Hassan
Meri Maan ki DuAao par
Yeh barkat naaz karti hai

na’at-khwan:
hazrat Shahnawaz Hassan