WhatsApp Join Naat Group

नबी के नवासे शरिअ़त बचाने, मदीने से कर्बो-बला आ गए हैं | Nabi ke nawase shariAt bachane, Madine se Karbala aa gaye hain

नबी के नवासे शरिअ़त बचाने
मदीने से कर्बो-बला आ गए हैं
लहू से चमन दीने हक़ का सजाने
मदीने से कर्बो-बला आगए हैं

ज़रूरत पड़ी तो लुटा देंगे घर भी
रहे-हक़ में अपना कटा देंगे सर भी
ज़हरा के दिलबर हैं किया बात उनकी
रज़ा-ए-इलाही में देंगे पिसर भी
गुनाह गार उम्मत की बख्शीश कराने
मदीने से कर्बो-बला आ गए हैं

सजाएंगे इस्लाम के गुलसितां को
बताएंगे शाने-नबी इस जहां को
है कितनी बलंदी पे परचम ये दीं का
दिखाएंगे करबल से अरजो़-समा को
नेजे़ पे चढ़ कर के कु़र्आं सुनाने
मदीने से कर्बो-बला आ गए हैं

ये नन्हा सा बच्चा है मा’सूम असग़र
चले लेके मैदा़ में है इब्ने-है़दर
छुपाने लगे शर्म से मुंह यज़ीदी
जो चेहरे पे देखा अ़ली का है तेवर
वो: तीरों की बारिश में भी मुस्कुराने
मदीने से कर्बो-बला आ गए हैं

है अब्बास की शान वो: शाने-आ़ली
वो: गुज़रे जिधर से हो मैदान खा़ली
वो: दरिया में रह कर पिए कैसे पानी
तसव्वर में जिसके सकी़ना हो वाली
वो: दीने-नबी का अलम लह-लहाने
मदीने से कर्बो-बला आ गए हैं

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अहसन शाकिर

Nabi ke nawase shariAt bachane
Madine se Karbo-bala aa gaye hain
Lahu se chaman deene-haq ka sajane
Madine se Karbo-bala aa gaye hain

Zaroorat padi to luta denge ghar bhi
Rahe-haq mein apna kata denge sar bhi
Zahra ke dilbar hain kiya baat unki
Raza-e-ilahi mein denge pisar bhi
Gunahgar ummat ki bakhshish karane
Madine se Karbo-bala aa gaye hain

Sajayenge Islam ke gulsitaan ko
Batayenge shaane-Nabi is jahan ko
Hai kitni balandi pe parcham ye deen ka
Dikhayenge Karbal se arzo-samaa ko
Neze pe chadh kar ke Quran sunane
Madine se Karbo-bala aa gaye hain

Ye nanha sa bachcha hai ma’asoom Asgar
Chale leke maidan mein hai Ibne-Haider
Chhupaqne lage sharm se munh Yazeedi
Jo chehre pe dekha Ali ka hai tewar
Woh teeron ki barish mein bhi muskurane
Madine se Karbo-bala aa gaye hain

Hai Abbas ki shaan woh shaan-e-Ali
Woh guzre jidhur se ho maidan khaali
Woh dariya mein reh kar piye kaise paani
Tasawwur mein jiske Sakina ho waali
Woh deene-Nabi ka alam leh-lahane
Madine se Karbo-bala aa gaye hain

Na’at-Khwan:
Hazrat Ahsan Shakir