WhatsApp Join Naat Group

कश्तिए-ए-इ़श्क़ मेरी पार है माशाल्लाह / Kashti-e-ishq meri paar hai masha Allah

कश्तिए-ए-इ़श्क़ मेरी पार है माशाल्लाह
तेरी यादों की जो पत्बार है माशाल्लाह

और क्या मांगू में अल्लाह से अपनी खा़तिर
दिल तेरे इ़श्क में बीमार है माशा अल्लाह

आके देते हैं सलामी जहां जिब्रीले-अमीं
मेरे आका़ का वो: दरबार है माशा अल्लाह

अरज़ियां पेशे-ख़ुदा पेश जहां होती हैं
मेरे सरकार की सरकार है माशा अल्लाह

जा निसारी का हर अन्दाज़ फ़िदा है जिस पर
यारे-ग़र आपका वो: यार है माशा अल्लाह

गर्दने-कुफ्र ज़रा देर नही टिक सकती
क्या अ़ली आपकी तलवार है माशा अल्लाह

आंख से आंख मिलाते हुए डरता है यज़ीद
सामने आबिदे -बीमार हैं माशा अल्लाह

उनके ख़ालिद को हरा सकता है कैसे कोई
वो: तो अल्लाह की तलवार हैं माशा अल्लाह

उनका गद्दार जहन्नम के हवाले होगा
जन्नती उनके वफा़दार हैं माशा अल्लाह

अपने अन्जाम की परवाह नहीं है कोई
उनके पास उनका गुनाहगार है माशा अल्लाह

सारी दुनिया भी मुख़ालिफ हो अगर ग़म क्या है
तू जो अज़हर का तरफ़-दार है माशा अल्लाह

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गुलाम गोस ग़ज़ाली

Kashti-e-ishq meri paar hai masha Allah
Teri yaadon ki jo patwar hai masha Allah

Aur kya maangu main Allah se apni khaatir
Dil tere ishq mein beemaar hai masha Allah

Aake dete hain salaami jahan Jibreele-Amin
Mere aaqa ka woh darbaar hai masha Allah

Arziyaan peshe-Khuda pesh jahan hoti hain
Mere Sarkar ki sarkar hai masha Allah

JaanNisari ka har andaaz fida hai jis par
Yaare-Ghar aapka woh yaar hai masha Allah

Gardane-kufr zara-der nahi tik sakti
Kya Ali aapki talwaar hai masha Allah

Aankh se aankh milaate huye darta hai Yazeed
Saamne Aabide-Beemar hain masha Allah

Unke Khalid ko hara sakta hai kaise koi
Woh to Allah ki talwaar hain masha Allah

Unka gaddar jahannum ke hawaale hoga
Jannati unke wafadaar hain masha Allah

Apne anjaam ki parwaah nahin hai koi
Unke paas unka gunahGaar hai masha Allah

Saari duniya bhi mukhaalif ho agar gham kya hai
Tu jo Azhar ka tarafDaar hai masha Allah

Na’at-khwan:
Hazrat Gulam Gaus Ghazali