WhatsApp Join Naat Group

ख़ुदा के नूर का जलवा हैं सय्यदा ज़हरा | Khuda ke Noor ka jalwa hain Sayyada Zahra

ख़ुदा के नूर का जलवा हैं सय्यदा ज़हरा
मेरे हुज़ूर का टुकडा हैं सय्यदा ज़हरा

निकलते शम्स से कहदो ज़रा ठहर जाए
अभी बिछाए मुसल्ला हैं सय्यदा ज़हरा

नबी सा लहजा है, चलती भी हैं नबी जैसी
मेरे नबी की सरापा हैं सय्यदा ज़हरा

बहारे-ख़ुल्द के रुख़ पर उन्ही का है ग़ाज़ा
बहारे-बाग़े-ख़दीजा हैं सय्यदा ज़हरा

ह़या इसी लिए आई शरीफ लोगो में
हया के माथे का सहरा हैं सय्यदा ज़हरा

ख़ुदा से जाके कहेगी ह़या क़यामत में
हमारे सर का भी परदा हैं सय्यदा ज़हरा

मेरे हुज़ूर ही जावेद मेरी दुनिया हैं
मेरे हुज़ूर की दुनिया हैं सय्यदा ज़हरा

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अहमदुल फत्ताह फैजा़बादी

Khuda ke Noor ka jalwa hain Sayyada Zahra
Mere Huzoor ka tukda hain Sayyada Zahra

Nikalte shams se kehdo zara thahar jaaye
Abhi bichhaye musalla hain Sayyada Zahra

Nabi sa lehja hain, chalti bhi hain Nabi jaisi
Mere Nabi ki saraapa hain Sayyada Zahra

Bahare-Khuld ke rukh par unhi ka hai ghaza
Bahare-Baaghe-Khadija hain Sayyada Zahra

Haya isi liye aayi shareef logon mein
Haya ke maathe ka sehra hain Sayyada Zahra

Khuda se jaake kahegi haya Qayamat mein
Hamare sar ka bhi parda hain Sayyada Zahra

Mere Huzoor hi Jaaved meri duniya hain
Mere Huzoor ki duniya hain Sayyada Zahra

Na’at-Khwan:
Hazrat Ahmadul Fattah Faizabadi