या नबी आपके क़दमों पे बिखरने वाले | Ya Nabi aapke qadmon pe bikharne waale

या नबी आपके क़दमों पे बिखरने वाले
होते हैं औजे-सुरय्या पे ठहरने वाले

ग़ौसे-अ़ा’ज़म की इ़नायत से चढे़ं है जो भी
वो: उतारे से किसी के न उतरने वाले

ये शरीअ़त है ज़रा सोच, समझ कर चलना
नारे-दोज़ख में गए ह़द से गुज़रने वाले

महंगे कपड़ों से ना दुनिया के किसी फै़शन से
उनके सीरत से सवरते हैं सवरने वाले

ख़ौफ़ खाते नहीं दुनिया में किसी का गुलफ़ाम
लोग जो होते हैं अल्लाह से डरने वाले

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गुलफा़म रज़ा हस्सानी

Ya Nabi aapke qadmon pe bikharne waale
Hote hain oje-Surayya pe thaharne waale

Ghause-Aa’zam ki inayat se chadne hain jo bhi
Woh utaare se kisi ke na utarne waale

Ye Shari’At hai zara soch, samajh kar chalna
Naare-dozakh mein gaye had se guzarne waale

Mehange kapdon se na duniya ke kisi faishan se
Unki seerat se sawarte hain sawarne waale

Khauf khaate nahin duniya mein kisi ka gulfam
Log jo hote hain Allah se darne waale

na’at-khwan:
Hazrat Gulfam Raza Hassani