कर दे अ़ता मुझको भी ये साअ़त शहरे-नबी की गलियों में | Kar de ata mujhko bhi ye saa’At shahre-Nabi ki galiyon mein

कर दे अ़ता मुझको भी ये साअ़त शहरे-नबी की गलियों में
जाके पढ़ों मैं ना’ते-रिसालत शहरे नबी की गलियों में

ख़्वारे-मदीना को पलकों पर, और ख़ाके-मदीना को माथे पर
फिर मैं सजाऊं करके जि़यारत शहरे नबी की गलियों में

रोज़ा-ए-अनवर दिखला देगी, मुझको यकी़ं है पहुंचा दे गी
मेरी मुह़ब्बत, उनकी इ़नायत शहरे नबी की गलियों में

आबे-ज़मज़म की सूरत में पीता रहूं उनकी उल्फ़त में
रूह़ की राह़त इ़श्क का शरबत शहरे-नबी की गलियों में

सुबह भी देखे, शाम भी देखे, काश कभी गुलफा़म भी देखे
नूरी की पर्खा, और बारिशे-रहमत शहरे नबी की गलियां में

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गुलफा़म रज़ा हस्सानी

Kar de ata mujhko bhi ye saa’At shahre-Nabi ki galiyon mein
Jaake padhoon main na’Ate-Risaalat shahre Nabi ki galiyon mein

Khware-Madina ko palkon par, aur khaake-Madina ko maathe par
Phir main sajaoon karke ziyaarat shahre Nabi ki galiyon mein

Roza-e-Anwar dikhla degi, mujhko yaqeen hai pahuncha degi
Meri muhabbat, unki inayat shahre Nabi ki galiyon mein

Aabe-Zamzam ki soorat mein peeta rahoon unki ulfat mein
Rooh ki rahat ishq ka sharbat Shahre-Nabi ki galiyon mein

Subah bhi dekhe, shaam bhi dekhe, kaash kabhi Gulfam bhi dekhe
Noori ki parkha, aur barishe-rehmat shahre Nabi ki galiyon mein

Na’At-Khwan:
Hazrat Gulfam Raza Hassani