WhatsApp Join Naat Group

शमशीर करबला में उठाई हुसैन ने, अज़मत नबी के दीं की बचाई हुसैन ने | Shamsheer Karbala mein uthai Husain ne, Azmat Nabi ke deen ki bachai Husain ne

ऐसा लगा के आ गए मैदान में अली
जब रन में ज़ुल्फ़िक़ार चलाई हुसैन ने

शमशीर करबला में उठाई हुसैन ने
अज़मत नबी के दीं की बचाई हुसैन ने

लगता था जैसे इश्क़ का काबा झुका हुवा
सजदे में जब ज़बीन झुकाई हुसैन ने

जन्नत में ला के सूए जहन्नम से खींच कर
क़िस्मत जनाबे-हुर्र की जगाई हुसैन ने

हाथों में ले के असग़रे-मज़लूम का लहू
ज़ुल्मों-सितम की आग बुझाई हुसैन ने

एक इन्क़िलाब आ गया मैदाने-जंग में
अकबर को जब ज़बान चुसाई हुसैन ने

तयबा है दर्सगाह, मदरसा शहे-उमम
तालीम इस तरह से है पाई हुसैन ने

सर कट गया है फिर भी नेज़े की नोक पर
आयत कलामे-हक़ की सुनाई हुसैन ने

मुमताज़ करबला से सदा आती है यहीं
बिगड़ी हर एक बात बनाई हुसैन ने

इस्लामी-शायर:
हज़रत मुमताज़ तान्डवी

ना’त-ख्वां:
हज़रत मुमताज़ तान्डवी

Aisa laga ke aa gaye maidaan mein Ali
Jab ran mein Zulfiqar chalai Husain ne

Shamsheer Karbala mein uthai Husain ne
Azmat Nabi ke deen ki bachai Husain ne

Lagta tha jaise ishq ka Ka’aba jhuka hua
Sajde mein jab jabeen jhukai Husain ne

Jannat mein la ke soo-e-jahannam se kheench kar
Qismat Janab-e-Hurr ki jagaai Husain ne

Haathon mein le ke Asghare-mazloom ka lahoo
Zulmo-sitam ki aag bujhaayi Husain ne

Ek inquilab aa gaya maidane-jang mein
Akbar ko jab zabaan chusaai Husain ne

Taiba hai darsgah madrasa Shahe-ummam
Taleem is tarah se hai paayi Husain ne

Sar kat gaya hai phir bhi neze ki nok par
Aayat kalame-haq ki sunaai Husain ne

Mumtaz Karbala se sada aati hai yahi
Bigdi har Ek baat banaai Husain ne

Islami-shayar:
Hazrat Mumtaz Tandvi

Na’At-khwaan:
Hazrat Mumtaz Tandvi