मेरे हुसैन तुझे सलाम, अस्सलाम या हुसैन | Mere Husain Tujhe Salaam Assalam ya Husain

कर लिया नोश जिस ने शहादत का जाम
उस हुसैन इब्ने-हैदर पे लाखों सलाम

मेरे हुसैन तुझे सलाम,
मेरे हुसैन तुझे सलाम

जिस को धोके से कूफ़े बुलाया गया
जिस को बैठे-बिठाए सताया गया
ज़हर भाई को जिस के पिलाया गया
जिस के बच्चों को प्यासा रुलाया गया

उस हुसैन इब्ने-हैदर पे लाखों सलाम

मेरे हुसैन तुझे सलाम,
मेरे हुसैन तुझे सलाम

जिन का जन्नत से जोड़ा मँगाया गया
जिन को दोशे-नबी पर बिठाया गया
जिन की गर्दन पे ख़ंजर चलाया गया
जिन को तीरों से छलनी कराया गया

उस हुसैन इब्ने-हैदर पे लाखों सलाम

जिस ने हक़ कर्बला में अदा कर दिया
अपने नाना का वा’दा वफ़ा कर दिया
सब कुछ उम्मत की ख़ातिर फ़िदा कर दिया
घर का घर ही सुपुर्दे-ख़ुदा कर दिया

उस हुसैन इब्ने-हैदर पे लाखों सलाम

मेरे हुसैन तुझे सलाम,
मेरे हुसैन तुझे सलाम

कर चुका वो हबीब अपनी हुज्जत तमाम
ले के अल्लाह और अपने नाना का नाम
कूफ़ियों को सुनाए ख़ुदा के कलाम
और फ़िदा हो गया शाहे-आली-मक़ाम

उस हुसैन इब्ने-हैदर पे लाखों सलाम

ना’त-ख़्वाँ:
हज़रत ओवैस रज़ा क़ादरी

Kar liya nosh jis ne shahadat ka jaam
Us Husain Ibne-Haidar pe laakhon salaam

Mere Husain Tujhe Salaam,
Mere Husain Tujhe Salaam

Jis ko dhoke se Kufa bulaaya gaya
Jis ko baithe-bithaaye sataaya gaya
Zehar bhai ko jis ke pilaaya gaya
Jis ke bachchon ko pyaasa rulaaya gaya

Us Husain Ibne-Haidar pe laakhon salaam

Jin ka jannat se joda mangaaya gaya
Jin ko doshe-Nabi par bithaaya gaya
Jin ki gardan pe khanjar chalaaya gaya
Jin ko teeron se chhalni karaaya gaya

Us Husain Ibne-Haidar pe laakhon salaam

Mere Husain Tujhe Salaam
Mere Husain Tujhe Salaam

Jis ne Haq Karbala mein ada kar diya
Apne Nana ka wa’ada wafa kar diya
Sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya
Ghar ka ghar hi supurde-Khuda kar diya

Us Husain Ibne-Haidar pe laakhon salaam

Mere Husain Tujhe Salaam
Mere Husain Tujhe Salaam

Kar chuka wo Habib apni hujjat tamaam
Le ke Allah aur apne Nana ka naam
Kufiyon ko sunaaye Khuda ke kalaam
Aur fida ho gaya Shahe-Aali-Maqaam

Us Husain Ibne-Haidar pe laakhon salaam

Na’at-Khwan:
Hazrat Owais Raza Qadri