जिस को जो चाहिए माँग लेना / Jis Ko Jo Chahiye Mang Lena Rab Ki Rehmat Ki Chadar Tani Hai

जिस को जो चाहिए माँग लेना
रब की रह़मत की चादर तनी है
क्यों ना सब की मुरादें हों पूरी
ग़ौस-ए-आ’ज़म की महफ़िल सजी है

जो विलायत की ख़ुशबू सुंघा दे
आधा हा़फ़िज़ शिकम में बना दे
सच्ची शहज़ादी-ए-फ़ातिमा है
ग़ौस-ए-आ’ज़म को जो माॅं मिली है

चोर हुजरे में चोरी को आया
फिर ‘अताऔं का देखो तमाशा
चोर बोला अरे है चोर हूँ मैं
ग़ौस बोले के अब तू वली है

है जो चेहरे पे बग़दादी लाली
सब ये फ़ैज़-ए-रज़ा है ग़ज़ाली
ग़ौस-ए-आ’ज़म की हम को मोह़ब्बत
बारगाह-ए-रज़ा से मिली है

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली


Jis ko Jo chaahiye maang lena
Rab ki rehmat ki chaadar tani hai
Kyun na sab ki muraadein hon poori
Gaus-e-A’azam ki mehfil saji hai

Jo wilayat ki khushboo sungha de
Aadha hafiz shikam mein bana de
Sachchi Shahzadi-e-Fatima hai
Gaus-e-A’azam ko jo maan mili hai

Chor hujre mein chori ko aaya
Phir ataaon ka dekho tamasha
Chor bola are chor hoon main
Gaus bole ke ab too wali hai

Hai jo chehre pe Baghdaadi laali
Sab ye faiz-e-Raza hai Ghazali
Gaus-e-A’azam ki ham ko mohabbat
Bargaah-e-Raza se mili hai

Shayar-e-Islam:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali

Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali