ह़बीब-ए-किब्रिया के हमनवा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म हैं
यक़ीनन मुत्तक़ी-ओ-पारसा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म हैं
है लरज़ा उनके नाम-ए-पाक से शैतान का लश्कर
जलाल-ओ-शान में बेहद जुदा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म हैं
कभी उनकी हयात-ए-जां-फ़िज़ा पढ़ कर ज़रा देखो
तुम्हें मा’लूम होगा फ़िर के क्या फ़ारूक़-ए-आ’ज़म हैं
नुज़ूल-ए-आयत-ए-फ़ुरक़ाॅं हुई तजवीज़ पर जिन के
ख़ुशा उस औज पर जल्वा-नुमा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म हैं
ज़माने ने सबक़ सीखा है जिन की ज़ात से ह़क़ का
वही हाॅं वाक़िफ़-ए-सिर्र-ए-ख़ुदा फ़ारूक़-ए-आ’ज़म हैं
दर-ए-फ़ा’रूक़ से ऐ ‘आरिफ़ा जो लेना है ले लो
ख़ुदा के फ़ज़्ल से हा़जत-रवा फ़ा’रूक़-ए-आ’ज़म हैं
शायर-ए-इस्लाम:
‘आरिफ़ा फा़ति़मा
ना’त-ख़्वाॅं:
‘आरिफ़ा फा़ति़मा
Habeeb-e-Kibriya ke hamnawa Farooq-e-Aa’zam hain
Yaqeenan muttaqi-o-paarsa Farooq-e-Aa’zam hain
Hai larza unke naam-e-paak se shaitaan ka lashkar
Jalaal-o-shaan mein behad juda Farooq-e-Aa’zam hain
Kabhi unki hayaat-e-jaan-fiza padh kar zara dekho
Tumhe ma’loom hoga phir ke kya Farooq-e-Aa’zam hain
Nuzool-e-Aayat-e-Furqaan hui tajweez par jin ke
Khusha us auj par jalwa-numa Farooq-e-Aa’zam hain
Zamaane ne sabaq seekha hai jin ki zaat se Haq ka
Wahi haan waaqif-e-sirr-e-Khuda Farooq-e-Aa’zam hain
Dar-e-Farooq se ai ‘Arifa jo Lena Hai Le Lo
Khuda ke fazl se haajat-rawa Farooq-e-Aa’zam hain
Shayar-e-Islam:
‘Arifa Fatima
Na’at-Khwan:
‘Arifa Fatima